Chapter = 5
Usa kuch na milna se uski bachani badti jati hai . Vo thak har ka zamin par baith jati hai aur rona lgti hai . Vo khud see bata karti hai aur kahti hai ki muja kuch ku nahi mil raha hai , akhir high school ma asa kya hua tha. Thodi dar udas bathna ka bad vo ek dam se uthati hai aur car ki key laker nikal jati hai ...
Vo sidha apna mom dad ka Ghar jati hai kuki Sara apna ghar se dur khud ka appartment ma rahti thi. Uska ghar pochna par uski mom darwaza kholti hai aur usa puchti hai ki beta tum achanak se aa gyi koi phone bhi ni kiya tumna aur tum kuch parashan bhi lgg rahi hai . Taab Sara unsa puchti hai ki kya uska sath high school time par kuch hua tha . Jisa sun kar Sara ki mom ghabra jati hai aur bhot dimaa swar ma puchti hai ki kya tera sath kuch hua hai kya. Sara parashan hota hua fer puchti hai ki mom kya mera sath high school ma koi accident hua tha kya...
Sara ki mom kahti hai ki tuu itni pareshan ku hai kya kisi na tujha se kuch kaha hai kya . Isa aga Sara ki mom kuch kahti voo sidha apna room ma chali jati hai . Voo darwaza band kar leti hai aur apna purna saman ma dudna lgg jati hai. Dudta samya voo soch rahi hoti hai ki usa please kuch mil jaya jisa usaa vo darawna sapna ana band ho jaya....
Kuch saman ko bikarna ka baad Sara ko apna ek pura model ka phone milta hai. Jo vo high school time ma use karti thi . Iska alawa usa ek album milta hai jisma usi kuch high school ki photo's thi . Jisma uski saraa class ki photo thi jis ma se vo kuch logo ko bhul chuki thi. Bhot sochna ka baad bhi usa kuch yaad nahi ata hai. Bahar uski mom usa awaz lga rahi hoti hai Sara tum thik to ho naa beta kuch awaz to do , darwaza khol Sara mom ko teri tension ho rahi hai . Par Sara apni soch ma dubi hui thi ki akhir jo usa yaad ni hai vo hai kon ....
Kuch time sochna ka baad Sara saraa saman apni jagha par rakhti hai aur phone apna sath la kar darwaza kholti hai. Uski mom usa puchti hai ki kya tuu thik hai. Sara apni mom kaa asu puchti hai aur kahti hai ki vo thik hai . Aur ab usa uska appartment ma jana hai uska bhot sara kaam pending rahta hai jo usa ajj ma pura karna hai.Sara ka waha se jana kaa baad uski mom ka face par ek alag se hi parashani aa jati hai ....
