Chapter 8: Waqt Ke Paar
Raat gheri thi… lekin us diary ke panno mein waqt jaag raha tha.
Kim Jo-woon diary ke ek panne pe ungli rakhti hai — aur ek roshni phoot padti hai, jaise har lafz mein koi purani rooh band ho.
"Yeh diary sirf kagaz nahi… yeh waqt ka darwaza hai, Ubaid."
Ubaidkk thoda peeche hata, "Tu mujhe time-travel drama mein kheench rahi hai kya?"
Kim ne uska haath pakda, "Yeh koi drama nahi… yeh tumhari zindagi ka asli page hai — jise tumne kab ka palat diya tha."
Diary ke lafz halki aag jaise chamak rahe the… aur Jinroh ab unke paas aake khada ho gaya.
"Jo-woon ne tumhari yaad wapas laayi hai… ab waqt hai tumhara sach dekhne ka."
Ubaidkk ne ziddi andaaz mein kaha: "Main kisi ke kehne pe apna past nahi maanta."
Kim ki aankhon mein aansu aa gaye… lekin usne muskurakar kaha: "Toh chalo… chalo apne past se milte hain."
Aur diary se nikalti roshni ne un tino ko lapet liya…
Ek second… bas ek second…
Aur sab kuch badal gaya.
🌌 Wo ab kisi aur duniya mein the.
Waqt ke paar — jahan har cheez purani thi… lekin yaadein zinda thi. 🌌
Jinroh ne dheere se kaha: "Welcome back, Ubaid — to the realm of forgotten promises."
---