WebNovels

ISHQ : Dastaan ek pagal aashiq ki (EP-1)

Ganesh_Saini281
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
140
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - ISHQ : dastaan ek pagal aashiq ki !(EP.1)

ISHQ !

Ye jo word hai , ye sirf ek word nahi , balki ek feeling hai, Ishq sirf mohabbat ka ehsaas nahi hota, balki ek aisi gehraai hai jahan insaan apni khud ki pehchaan tak bhool jata hai. Ye wo rishta hai jo lafzon se nahi, khamoshiyon se samjha jata hai. Ishq mein paana zaroori nahi hota, mehsoos karna hi kaafi hota hai—chahe wo saath ho ya doori, dil hamesha usi ke paas rehta hai.

Ek aise hi defination ke saath ye kahani hai ek aise deewane ki jisne apne mahboob ke liye khud ko kurbaan kar diya .

Na ki sirf khud ko kurbaan kiya , ishq ke is safar pr usne apna naam itihaas ke un aashiqon ke saath darj kiya jinhone is duniya me ishq ki ahmiyat samjhai or batai. Jo apne Mahboob ke liye is kadar barbaad hue , jise dekh kr logon ko talab ho gai uske jaise maut ki !

Ye kahani shuru hoti hai saal 2009 , Rajasthan ke ek chote se sahar me paida hua ek ladka jiska naam tha ARYAN .

Basically ye ladka paida to hua ek joint family me , pr paida hote hi ghr valo ki expectations ka boojh us pr aa gira ! Kunki vo apne maa babuji ka pahla ladka tha . Mahaj uski 2 bahn thi jo us se badi thi . Jinka naam tha AAROHI or RUHI .

Kunki RUHI sabse badi Bahn thi or AAROHI ,RUHI se choti !

Aryan ka lagaav jyada aarohi pr tha , vo usse apna sab kuch maanta tha .

4 saal ki umr me uska school me dakhila karva diya gaya .

Pr ! Ek bachha jo ki bohot chota hai , bilkul naasamjh , apne ghr se bahar kabhi gaya nahi ,maa babuji ke saaye me pala-bada , vo bachha ab pahli baar school jane vala tha , ek aise anjani jagah , jaha ke log anjaan ! Na koi jaankaar ,na hi koi aisa jisko kuch bola jaaye na hi kisi se baat ki jaaye !

Vo din aya jab uski school shuru ho gai thi or kal usse school Jana tha , sabhi chize jaise bag ,paani ki bottle , lunch box , sab use laakr diya gaya .

School ka pahla din (1):

Aryan rote hue school gaya ! Use jabardasti van me baitha diya gaya . Jubaan pr sirf maa-maa ka hi naam tha . Uski maa bhi badi bechain thi , pahli baar apne jigar ke tukde ko khud se door kar rahi thi !

Pr mann pr patthar rakh ke , aankhon me bharosa liye , unhone Aryan ko van me jabardasti baitha diya . Aryan rota , bilakhta school pahucha . Jaha use chocolates or khilono ka laalach dekhr chup kara diya gaya. Mahaj ek 4 saal ka bachha , jise koi ye bhi kah de ki Chand jameen pr hi rahta hai , chidiya bolti hai , janvar baatein karte hai , or to or bhagvaan ka ghr paas hi hai , badi hi aasaani se maan jata hai , vishvaas karleta hai . Shayad isiliye hi bhagvaan bachhon me baste hai kunki bachhon ka mann ek dum komal , niswaarth , or sachha hota hai . School ka pahla din , usne chup hokr ye samjh liya ki yaha uske aansu poochne uski maa nahi aane vali , usne apne aasu poonchhe , Khud ko himmat di or chl pada jindagi ke ek naye safar pe . Pahle din kuch ussi ki umr ke bachhon se baatein Hui . Halaki vo jyada baatein kar nahi paya .

Pr dheere ,dheere 1 haftein me usne apne bohot se dost bna liye .

Uski dono Bahn bhi ek sarkari school me padhti thi . To ab ghar me ek Shanti si chha gai . Pahle to Aryan Ghar me khelta rahta , kabhi apni maa ke aage peeche bhaagta ,to kabhi apne babuji ke saath kaam me haath bataane ki koshish karta . Lekin ab ghar me alag hi khamoshi thi . Jaise Ghar ki ronak chali gai ho thodi der ke liye . Uski maa bhi ab saare kaam araam se lar liya karti pr unka Mann thoda u bhi ghabraata ki unke laal ne kuch khaya hoga ya nahi , ya vo theek to hoga ? Pr vo khud ko baar baar bolti ki , " kuch der ki hi to baat hai , Aryan Ghar pe aa jayega " . Or dopahar kareeb 2 baje Aryan Ghar pe aa hi gaya .

Vo thoda gussa tha pr maa ne samjhaya to jaldi hi maan gaya . Or fir shuru hue uske school ke kisse . Jaha subaha Ghar poora shant tha , ab poore Ghar me toofan ki tarah ghoomta hua Aryan , apni maa ko sab bata raha tha .

Aise hi poora din nikal gaya , raat ho gai , uski bahn aarohi ne aakr uske school ke homework me uski madad ki . Saath hi saath apna homework bhi khatam kiya . Sabne khana khaya or so gaye .

Ab u hi har roj chalne laga . 1 saal ke baad exams najdeek aaye , or Aryan ne exams me poori class me 1st rank haasil ki . Dheere dheere usne ye safar 3rd class tak jaari rakha . Vo ab kaafi samjhdaar ho gaya tha ,

Pr bohot shaitaan bhi tha vo .

Har roj ki tarah ek din vo apni maa ke saath unke kaam me haath bata raha tha , ke tabhi uski maa kisi kaam se kuch der bahar gai . Shaitaani me usne apna haath ghaas patte kaatne vali machine( gandasa) se kaat liya .

Shuru ke ek 2 min sab shant !

Usne dekha uski daaye haath ki 3 ungliya kat ke neeche gir chuki thi , use kuch mahsoos nahi hua , vo bahar gaya !

Ke tabhi uski maa ki nazar uske haath pr gai .unhone chillaate hue uske haath ko apni saadi se lapeta or chl padi uske babuji ke dost ke paas Jinki dukaan uske ghar ke kuch paas thi .

Kunki Ghar pe sirf uski maa or uski dadi or Bahn thi . Uski maa ne bina ek minute Jaya kiye , Aryan ko lekr chl padi .

Dukaan pr Aryan ke uncle ne ye dekh kr apne doston ko bulaya or apne paas pada ek naye kapde ko cheer ke uske haathon me lapet diya . Aryan ki maa sadme me thi par fir bhi himmat rakhe hue thi , unhe dar bhi lag raha tha lekin unhone apni himmat nahi haarne di .

Paas hi ek choti gaadi ki dukaan pr aryan ke babuji ke dost kaam Kar rahe the , jab unhone ye sab dekh ,turant ek gaadi nikal ke Aryan or uske uncle or uski maa ke saath paas hi ke hospital chale gaye ......

To be continued.....

Be ready for next part !!