Agar woh kisi aur ka tha,
toh mujhe Mila hi kyu,
Meri duaaon ke raste mein
Uska naam likha hi kyu.
Mere dinon ki aadat ban kar
raat ka khwaab bana hi kyu,
Do pal ki muskurahat dekar
Phir yun chup sa chala hi kyu.
Maine toh usey apna samjha,
Dil ne ye dhokha khaya hi kyu,
Agar safar uske saath na tha
Toh mera haath thaama hi kyu.
Ab sochti hoon, shayad milna
Sirf bichhadne ka zariya tha,
Woh mera kabhi tha hi nahi...
Par dil ko yeh bataya hi kyu.
