WebNovels

Chapter 1 - Andhere jungle ka Raaz

Ek chhote se gaon ke pass ek bahut Ghana aur andhera Jungle tha gaon ke log use Jungle se bahut darte the vah kahate the ki use Jungle mein ek Rahasya chhupa hai aur jo bhi vahan Raat mein jata Hai vah dar kar wapas Laut aata Hai usi gaon mein Aarav naam ka ek bahut hi Bahadur ladka rahata tha use rahasyaon ke bare mein jaane ka bahut shauk tha ek din usne yah Tay kar liya ki vah use andhere jungle ka raaz pata lagaega sabhi gaon walon Ne use yah kaha ki beta vahan mat Jana vah Jungle bahut hi Khatarnak hai lekin aaram Ne kaha ki darne se sacchai nahin badalti mein bus sach janne ke liye Jana chahta hoon ek Sham Aarav hath mein torch aur ek Chhota Sa bag lekar use Khatarnak Jungle ki or Chala Gaya Jaise Jaise vah Jungle ki andar jata Chala Gaya ped aur bhi jyada ghane hote chale Gaye use ghane jungle mein Charon or alag Si aawajen sunai de rahi thi kabhi patton ki sarsrahat to kabhi jungali janvaron ki khunkhar awaaz thodi der ke bad Aarav ko ek bahut purana rasta dikha Jo jhadiyon ke pass se hote hue ja raha tha usne socha ki yah rasta Shayad Kisi purane Ghar ya jagah ki or jata hoga to vah savdhani se us raste per chalne Laga kuchh dur jaane ke bad use ek tuti futi haveli dikhai Di haveli bahut purani Thi aur uske Charon or बड़ी-बड़ी bele ugi hui thi aisa lag raha tha ki Kai salon se vahan Koi nahin aaya Aarav Ne himmat ki aur धीरे-धीरे use haveli ke andar Chala Gaya andar bahut andhera tha diwaron per dhul Jami hui thi aur farsh per sukhe patte pade hue the Achanak use ek kamre Se ek chhoti Si Roshani aati Hui dikhai Di vah धीरे-धीरे use kamre ki aur bhada darvaja thoda khula hua tha Jaise hi usne andar jhanka to use ek bahut purani mej per ek diary aur ek lalten jalti Hui dikhai Di Aarav Ne diary uthai aur padhne Laga usmein likha hua tha ki Kai sal pahle use Jungle mein ek vaigyanik rahata tha vah Jungle ke janvaron aur pedon per shodh Karta tha lekin ek din Achanak vah gayab ho gaya log samajhne Lage ki jungle mein koi daravani takat hai Aarav is baat Ko padhakar soch Main Chala Gaya tabhi uske piche se kadmon ki awaaz sunai Di uska Dil jor se dhadkane Laga usne torch ghumai aur piche dekha lekin vahan koi bhi nahin tha thodi der bad FIR vahi awaaz aai is bar Aarav Ne himmat karke us Disha ki or kadam badhae vahan use haveli ke piche ek Chhota Sa Kamra Mila kamre ke andar ek Budha aadami baitha tha Aarav chauk Gaya tabhi use budhe aadami Ne muskura Kar kaha ki daro mat main vahi aadami hun jiske bare mein tum diary padh rahe the Aarav Ne usse hairani Se poochha ki sab log to yah kahate Hain ki aap gayab ho gaye the budhe aadami Ne kaha Main yahan Jungle ki Raksha ke liye chhupkar rehta hoon agar logon Ko Pata Chal jayegi yahan kitni durlabh chijen Hain to fir vah is Jungle ko nuksan pahuncha sakte hai Aarav ko ab samajh mein a gaya tha ki jungle mein koi bhoot Pret ya daravani chijen nahin hai yah sab logon ki galatfahmi hai subah hone par Aarav gaon mein wapas Laut aaya aur sab Ko Sach bataya usne kaha dar Aksar hamari Kalpana se paida hota Hai asali Rahasya samajhne ke liye hamen himmat aur samajhdari chahie us din ke bad gaon ke log use Jungle se Darna chhodane Lage aur use Jungle ka Dhyan rakhne Lage kuchh din ke bad gaon mein FIR Ajeeb Si ghatnayen hone lagti Hai Raat mein Jungle se Ajeeb Si neeli Roshani dikhai deti Hai aur kuchh logon Ko kadmon ki awaaz sunai deti Hai Aarav ko lagta hai ki abhi bhi us Jungle mein koi Rahasya chhupa hua hai vah fir us Jungle mein budhe vaigyanik se milne jaata hai lekin is baar jab Wah us haweli mein jaata hai toh waha vah vegyanik waha nhi hota lekin us dairy ke aakhri panne par ek sandesh likha hua hota hai agar tum yeh padh rahe ho toh samajh lo ki abhi asli Rahasya baaki hai haweli ke neeche ek gupt raasta chhupa hai jo bohot Kam log jaante hai ab Aarav ko ye pata lagana hai ki vaigyanik kaha gaya jungle mein se roshni kyu dikh rahi hai or haweli ka wo gupt raasta kaha hai Aarav Ne ab us kamre ko dhyan se dekhna shuru kiya kuchh der ke baad use farsh par ek ladki ka dhakkan dikhai diya usne usko dheere dheere uthaya neeche sidhhiya thi jo zameen ke andar jaa rahi thi Aarav Ne himmat ki or torch jalakar sidhiyon se neeche utarne laga neeche pahuchkar usne dekha ki waha ek lambi surang thi us surang ki dewaaro par ajeeb nakshe or chinh bane hue the Aarav ke thoda aage jaane par use wahi peeli roshni dikhai di jo gaon walo ne dekhi thi jese hi Wah us roshni ke paas pahuncha toh use waha ek Chhota Sa gupt Kamra dikhai diya kamre ke bich mein wahi Budha vaggayanik kadha hua tha Aarav Ne raahat ki saans li aur bola aap yahan hai or pure log gaon mein dar rahe hai vaggayanik muskuraya or bola mein is surang mein nai khoj par kaam kar raha hoon ye neeli Roshani ek khaas pathar se nikalti hai jo Jungle se mila tha yeh bohot durlabh hai Aarav Ne puchha to kya yahi roshni log dekh rahe the vaggayanik me sar hilakar kaha haan ye wahi roshni hai lekin ye Rahasya abhi sabhi logo ko batana sahi nhi hai agar logon ko pata chal gaya toh wah is jagah ko nuksan pahuncha sakte hai Aarav Ne vaada kiya ki vah is Jungle or is Jungle ke rahasyaon ki raksha karega kuchh der ke baad vah us surang se waapas aaya or apne gaon waapas chala gaya ab use pata tha ki andhere jungle mein dar nhi balki gyan or Rahasya chhupe hai

More Chapters