Sabir ne har maan li, ya aisa dikhaya. "Maaf karna yaar Sufiyan, main toh bas tera imtehaan le raha tha. Chal, ye Noghawa ki mashhoor mithai kha, aaj shaam ko dawat hai."
[System Emergency Alert: Toxins Detected!]
[Analysis: Nerve-Numbing Agent found in the Sweet.]
Sufiyan ka haath ruk gaya. Usne Sabir ki aankhon mein dekha. Sabir chahta tha ki Sufiyan ki ungliyan sunn (numb) ho jayein taaki wo kal Paris ki flight na le sake.
"Sabir, mithai hamesha baant kar khayi jati hai," Sufiyan ne kaha aur wahi tukda Sabir ki taraf badhaya. Sabir ka chehra safed pad gaya. Wo samajh gaya ki Sufiyan ko sab pata chal chuka hai. "Dosti mein zeher mat ghol Sabir, warna ye mitti tujhe kabhi maaf nahi karegi."
