WebNovels

Tantra Vigyan

Thakur_Sahab_14
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
122
Views
Synopsis
This book leading to an spritual and adventure journey through my eyes
VIEW MORE

Chapter 1 - Mere Tantrik Yatra Ke Anubhav.

Hyderabad Ki Ghatna

Chapter 1

Yah ghtna year 1995 ke may month ki hai, Mai Hyderabad aaya hua tha apne mama ji ke pass, Mere Mama ji CRPF me the aur yaha rahte huye unhe 2 saal ho gaye the Mera unse milna nahi ho pa Raha tha to mai Hyderabad pahuch gaya. Mamam ji ne afzalganj me ek makan kiraye par liya hua tha. Makan naya to nahi tha kintu kaam chalau to tha!

Mai Hyderabad din bhar ghumta shaam ko ghar aakar khana kha kar so jata.

Ek din maine socha ki yaha ki sabse baadi masjid MAKKA MASJID ghoom kar aate hain, kareeb 1 baje din me mai makka masjid ghumane chala gaya! Masjid ka sach me hi ek bada shaandar aur aitihasik itihaas raha hai! Usame ek bada sa ahata aur

Talab bhi hai jiski deewaren pattharo se bani hain aur usame machaliyan paali gayi hain. Main us din masjid ghuma aur fir bazar chala gaya, Agle din na jaane kyu mere dil aur mann me fir se waha jaane ki ichcha huyi,Mai fir dubara waha chala gaya!

Darasal waha shaanti ka mahaul tha aur mann ko badi shaanti mili thi waha jaakar, to mai fir se us masjid ke talab par chala gaya aur machchaliyan dekhene laga.

Waha kaafi log the har Umar ke aur fir mai bahar ahate me aakar ek patthar ki bench par baith gaya. Tabhi maine dekha ki ek chhoti ladki waha aayi aur aake kisi ko awaj dene lagi, maine socha shayad ghumane aane wale logon me se koi hogi ye.Usaki umra bahut jyada nahi thi lekin achche parivar se sambandhit hai aisa mehsoos hua mujhe. Fir achanak hi wo meri taraf mudi aur boli - "Kya aapane yahan kisi chhote bachche ko dekha hai jo kaale rang ke kurate me hai aur sar par topi lagai hai safed rang ki?"

"Nahi maine to nahi dekha?" Maine kaha.

"Ye roj hi aise karta hai. Khaane ke waqt hamesha dhudhna padta hai isey, na jaane kaha gaya ab ye?" Wo chaaro taraf dekh kar boli..

"Tum kya yahin rahti ho?" Maine sawal kiya,

"Haan, main yahi paas me hi rahti hu, yahan mere Abbu ki dukaan hai bachchon ke kapdo ki", usane tapaq se jawab diya.

"Padhaai karti ho?" Maine pucha.

" Haan, teesari jamaat me hu", usane jawab diya.

"Achcha hai, Padhai karni hi chahiye. Waise naam kya hai tumhara beta?" Maine fir se sawal kiya.

"Nissar naam hai mera aur aapka?" Usane bhi sawal kiya. Maine apna naam bata diya wo jhijhak nahi rahi thi aise baat kar rahi thi ki wo jaise wahan ki har ek chiz se waqif ho!

"Aap kaha se aaye ho? yahan ke to nahi lagte?" Usane pucha.

"Mai Delhi se aaya hu" maine jawab diya, "aap kal bhi yaha aaye the na maine kal bhi aapko dekha tha?" Usane pucha,

"Haan, main kal bhi yahan aaya tha lekin kal mai yahan nahi baitha tha?" Maine kaha,

"Kal aaap talaab ke pass baithe the maine dekha tha" wo boli.

"Haan" ,maine kaha.

" Achcha mai ab apne bhai ko dhundhati hu, haan ek baat to batao? Kya aapne saara Hyderabad ghum liya?" Usane fir se sawal kiya.

"Haa. Lagbhag sara ghum liya bas ye masjid rah gayi thi to socha ki isko bhi ghum liya jaaye isko kyun chhoda jaaye" maine hans kar jawab diya.

"Aapko is Masjid ki khaasiyat malum hai?" Usane jor dekar kaha,

"Nahi mujhe nahi malum, waise kya khaasiyat hai is masjid ki ? Mujhe to aam masjid ki tarah hi lag rahi hai, Haan badi jarur hai." Maine masjid ki taraf muh kar ke kaha.

"Is masjid ki piche ki deeware ek patthar laga hai jo MAKKA se laya gaya tha, lekin wo har ek insan ko nahin dikhai deta, kya aapne wo dekha?" Usane pucha.

"Nahin mujhe to nahi dikha aur na mujhe is baare me kisi ne bataya kuch" maine kaha.

"Chaliye mai dikhati hu aapko, log yahan guide ko paise dete hain taaki wo unko wo patthar dikhwa den. Usane muskura ke jawab diya.

"Lekin, tum apne bhai ko dhundh rahi thi na? Tum usko dhundh lo!" Maine kaha,

"Wo jayega kaha, yahi hoga ya fir Abbu ki dukaan par chala gaya hoga khud hi, chalo mai dikhati hun," usane kaha.

Mere mann me khayal aaya shayad ye ladki aise hi mere jaise logon ko wo patthar dikha kar 5-10 rupaye bana leti hogi, khair mai uth ke khada hua aur usake piche chalne laga,

Wahan usane mujhko wo patthar dikhaya aur usake baare me baat karti rahi,aur fir ham dono usi jagah pe aa gaye jahan wo mujhe pahli baar mili thi, maine apne jeb se 10 rupaye nikale aur usey dene laga, lekin usane mana kar diya aur hans ke boli, " Aap hi rakh lo nariyal ki mithai khaa lena!"

Mai bhi hans pada , lekin usane paise nahi liye ye mere liye thoda chaukane wali baat thi.

"Achcha ab main chalti hu , kal fir aaoge aap yahan?aur yahan Hyderabad me kab tak ho? Usane pucha.

"Kal mai aaunga ya nahi, ye to nahi kah sakta lekin aaj 15 tarikh hai aur 18 ko mujhe wapas Jana hai" maine kaha.

"Yaani ki aap 18 tarikh ko wapas jaayenge" usane kaha.

"Haan" maine kaha.

"Achcha ab main chalti hu, aap kal aaoge to baat karungi" usane hanste huye kaha, mai uska jawab nahi de saka aur mere dekhte hi dekhte wo wahan se chali gayi aur logon ki bheed me gum ho gayi.

Main isake koi aadhe ghante baad wahan se wapas ghar ki taraf chal diya, Aur bistar par letane ke kaafi der baad tak mai isi baat me uljha raha aur neend aa gayi.

Mai takreeban 2 baje waha pahucha jahan meri mulaqat pahli baar Nisar se huyi thi. Mai waha baitha aur paani peene laga, Main paani pi hi raha tha ki mujhe usaki awaj sunayi di,

"Aa gaye aap!"

"Haan, main aa gaya, aur sach pucho to beta main tumhe hi dhundh raha tha." Maine bejhijhak jawab diya!

"Main jaanti hu" usane bhi tapak se jawab diya."ye lo , aapne to li nahi hogi, to mai hi leke aa gayi aapke liye ye nariyal ki mithai!" Wo mithai ka kagaz kholate huye boli. Mujhe thodi hairat huyi ki Nisar ko kaise malum ki maine mithai nahi khaayi?

Khair, maine apne khayal ko dar-kinaar kiya aur mithai ka ek tukda munh me rakh liya, mithai waqai me lajwab thi!

"Ye kaun si dukaan se laayi ho Nisar tum? Kaafi badhiya mithai hai!" Maine ek aur tukda uthaate huye pucha.

"Yahin paas me kayi dukaane hain kahin se bhi mil jaayegi" usane muskura ke kaha".

Achcha Nisaar, jara apne ghar ke baare me to batao kaun kaun hai ghar me tumhare ? Maine usase aankh mila kar pucha. "Mere Abbu Hai ammi Hain Baba hain aur mera Chhota bhai Akhtar hai" usne jawab Diya". Aur ghar kahan hai tumhara maine poochha yahi pass mein hi hai mere ghar chaloge?

Are nahin Main to sirf poochh raha tha maine Hans ke jawab Diya aur use din Kareeb 2 ghante Tak Ham aise hi baat karte rahe vah mere bare mein puchti aur main uske bare mein vah Delhi ke bare mein puchti aur Main Hyderabad ke bare mein aise hi waqt Gujar Gaya mujhe yah Nisaar acchi lagne lagi Thi behad Masoom pyari aur chulbuli bacchi Si FIR main Kareeb 6:00 baje wapas Apne Mama Ji ke ghar a Gaya"8:00 baje ke kareeb Mama Ji Aaye Aur unhone cal mujhe Apne Sath Apne center per chalne ke liye kaha Main Jana to nahin chahta tha lekin Mana Na Kar saka agale din mujhe center Jana pada Jo kafi dur tha. Main sahar se 2 ghante Se jyada ka waqt lag gaya tha vahan main Mama Ji ke doston ke sath Mila khaya Piya ISI mein 2:00 baj gaye Main Ghar per 4:00 baje Kareeb pahuncha lekin FIR man nahin Mana aur fir se Masjid Ki or badhane Laga 4:30 baj chuke the main FIR vahi jakar baith Gaya Jahan 2 din se Main Aur Nisaar mil rahe the kafi waqt Gujar Gaya lekin Nisaar ka koi ata pata nahin tha Maine apni najar Charon taraf daudai ke Nisaar mujhe kahin dikh jaaye aur Achanak hi vah mujhe dikhai De Gai vah Meri taraf hi badh rahi thi mujhe behad Khushi Hui.

Aaj Kahan The Sara din usne mujhse kadak Raha Ji Main poochha, Aur Sach kahta hun mujhe uska ilaaj behad pyara aur behad karibi Laga. Han main tumko kal Bata nahin saka ki mujhe kahin Jana tha Apne Mama Ji ke sath, Maine thoda dhime lahje mein usse kaha.

" Koi baat nahin chalo Aap Aaye to" usne majak ke lahje mein yah baat kahi aur maine bhi hanskar apna sar hila Diya. "Achcha yah ek chhoti Si kitab hai usko Rakh Lo behad kam aaegi jindagi mein" usne mujhe vah kitab dete hue bola.

"Lekin yah to Urdu mein hai maine sawal Kiya."

"Aap Urdu jante Hain yah main janti hun acchi tarah Se" usne kaha.

"Tumko kaise pata ki main Urdu jaanta hun" Maine hairat se poochha.

" Aapke bolane ke lahje Se Maine samajh liya ki aapko Urdu aati hai" usne araam Se yah baat Kahi yah baat to mujhe pata thi ki nishaar ek Jaheen bacchi hai aur dusre apni umra ke bacchon Se Alag hai.

"Main kal subah ja raha hun Nisaar" maine kaha, " han maloom Hai apni aankh niche karke kaha".

"Pata nahin kabhi dobara yahan aa bhi paunga ya nahin tum ek kam karo mujhe apne ghar ka pata de do Main agar kabhi aaya to tumse jarur milunga Nisaar "Maine halke lahje mein yah baat Kahi.

Vah muskurae lekin kaha kuchh nahin usne Meri Jeb se pen nikala aur kitab ke piche apna pata likh diya aur vahan se Chali Gai. Yah Meri usse aakhri mulakat Thi mujhe bhi Ajeeb Sa lag raha tha teen Dinon mein Hi ek Ajeeb Sa NATA ban gaya tha mera usse main ahate se bahar aaya aur ghar ki or chal Diya vo kitab Maine Jeb mein Rakh Li Thi chhoti Si Koi 100 prishto ki rahi hogi.

Raat ko ghar jakar subah Hyderabad chhodane ki taiyari shuru kar di vah waqt gujarta Gaya apni rakhtar Se mujhe ek bar FIR Hyderabad jaane ka mauka Mila yah baat Sun 1997 ke December ke mahine Ki Hai.

Khair main vahan pahuncha Mama Ji ke yahan ruka Aur agale din unki motorcycle uthai aur Nisaar ke diye hue Pate ki taraf chal Diya Maine Masjid ke samne ek shakhs se rasta poochha aur uske bataye hue raste per chal Diya lekin lagatar chalne ke bad bhi vah jagah aa hi nahin Rahi Thi, Koi kahta idhar jao Koi kahta udhar jao, jaisa Jo kahate main vahi chal deta.

Lekin pata nahin Chala Maine ek bujurg aadami se poochha ki mujhe yahan jana hai mujhe aadami ne kaha ki is naam ki jagah to yahan Koi nahin Hai ek gaon Hai is Naam ka vahan chale jao, Maine vaisa hi kiya aur use gaon ki or chal pada Shahar Se kafi Bahar tha yah gaon main vahan pahuncha to ek chai wale se poochha ki mujhe is jagah Jana Hai Maine usko parcha dikhaya Naam batao jisse Milana hai usne kaha.

Maine Naam bataya, is Naam ka to Koi aadami nahin rahata yahan aap ek kam karo samne Masjid Hai vahan maloom kar lo usne Ishara karte huye bataya. Main vahin chal Diya vahan 4-5 bujurg log baithe hue The Maine jab unse poochha to ek aadami a Gaya aur bola yah pata aapko kisne Diya ?

Maine sab kuchh Bata Diya vah hairat mein pad Gaya aur mujhe Apne Sath aane Ko kaha Main chal Diya. Usne ek toote- foote khandhar numa Ghar Ki or Ishara Kiya aur bola is Naam ka aadami aaj se 40 45 sal pahle yahan Raha Karta tha.

Uski biwi, baap, aur ek ladki Thi nisaar Aur ek ladka tha Akhtar ek Raat barish mein chhat gir Gai aur Sara Parivar ismein dab ke Mar Gaya.

Meri Aankhen fati ke fati rah Gai khoon Jaise jam gaya ho aap thandi Ho Gaye Maine Kisi tarah Se khud ko sambhala aur wapas chal Diya raste mein fir se vah Masjid padi.

Maine motorcycle Bahar lagai aur usi jagah jakar baith Gaya Jahan Meri pahli bar mulakat nisaar se hui thi Main dhundhta Raha naam leta Raha lekin nisaar nahin aayi to nahin aayi ,vah kitab Aaj bhi mere pass hai uska shirshak Hai Lambi umra ki sau duwayen...