Chapter 1 – Nayi Shuruaat
Subah ka waqt tha jab Aisha apne ghar ke saamne khadi thi. Uske saamne ek badi si society thi jiska naam tha Green View Society. Bahar se sab kuch bilkul normal lag raha tha—bachche ground mein khel rahe the, kuch log morning walk kar rahe the, aur balcony se log neeche dekh rahe the.
Aisha aur uski family abhi-abhi yahan shift hui thi.
"Lagta hai yeh jagah achhi hai," Aisha ne socha.
Jab woh building ke andar gayi, usne notice kiya ki kuch log use ajeeb tarah se dekh rahe the. Jaise woh koi nayi baat ho.
Lift ke paas ek aunty khadi thi. Aisha bhi lift mein chali gayi. Lift band hui hi thi ki aunty ne dheere se kaha:
"Yahan naye ho na tum?"
"Haan," Aisha ne smile karte hue kaha.
Aunty thodi der chup rahi, phir boli:
"Bas ek baat yaad rakhna… is society mein sab par jaldi trust mat karna."
Aisha hairaan ho gayi. Lift rukte hi aunty bina kuch aur bole bahar chali gayi.
"Yeh kya tha…?" Aisha ne socha.
Shaam tak Aisha ne society ka thoda sa area explore kiya. Wahan uski mulaqat ek ladki se hui jiska naam Zoya tha. Zoya friendly thi aur dono jaldi hi baat karne lage.
"Tum nayi ho na yahan?" Zoya ne poocha.
"Haan, aaj hi aaye hain."
Zoya thodi serious ho gayi.
"Bas ek baat… agar kuch ajeeb lage na, toh ignore mat karna."
Ab Aisha ko thoda sa doubt hone laga. Ek hi din mein do log usse aisi baatein bol chuke the.
Raat ho gayi. Aisha balcony mein khadi thandi hawa enjoy kar rahi thi. Sab flats mein lights jal rahi thi.
Tabhi usne saamne wale flat ki balcony mein kuch ajeeb dekha.
Ek aadmi chupke se kisi box ko balcony se neeche rassi se utaar raha tha.
Aisha ka dil tez dhadakne laga.
"Yeh kya kar raha hai…?" usne dheere se kaha.
Aur us moment par Aisha ko samajh aa gaya…
Yeh society utni normal nahi hai jitni dikh rahi hai.
To be continued…
Chapter 2 – Pehla Raaz
Us raat Aisha ko neend hi nahi aa rahi thi. Uske dimaag mein bas wahi scene chal raha tha jo usne balcony se dekha tha.
"Woh aadmi box neeche kyun utaar raha tha?" Aisha ne socha.
Subah hote hi Aisha phir balcony mein gayi. Neeche sab normal lag raha tha. Bachche khel rahe the, log baatein kar rahe the. Jaise kal raat kuch hua hi na ho.
Tabhi usse Zoya neeche dikh gayi.
Aisha turant neeche chali gayi.
"Zoya, mujhe tumse kuch important baat karni hai," Aisha ne kaha.
"Kya hua?" Zoya ne poocha.
Aisha ne dheere se kal raat wali baat bata di. Zoya thodi der chup rahi, phir usne aas-paas dekha jaise koi sun na raha ho.
"Tumne bhi dekh liya…" Zoya ne dheere se kaha.
Aisha hairaan ho gayi.
"Matlab tumhe pata hai?"
Zoya ne sirf itna kaha:
"Is society mein kuch flats aise hain jinke baare mein zyada baat nahi ki jaati."
Aisha ab aur curious ho gayi.
Tabhi wahan se ek uncle guzre — wohi jo hamesha balcony se sabko dekhte rehte the. Unka naam Mr. Khan tha. Unhone Aisha aur Zoya ko ek second ke liye dekha… aur phir bina kuch bole chale gaye.
Zoya ne dheere se kaha:
"Unse thoda bach ke rehna."
"Kyuuun?" Aisha ne poocha.
Zoya jawab dene hi wali thi ki achanak society ke ek building ke saamne log jama hone lage.
"Wahan kya ho raha hai?" Aisha ne poocha.
"Pata nahi… chalo dekhte hain," Zoya ne kaha.
Dono wahan pahunchi. Log baat kar rahe the ki ek flat ka darwaza raat se khula hua hai, lekin andar koi jawab nahi de raha.
Aisha ka dil zor se dhadakne laga.
Kyuki woh wahi flat tha…
jahan kal raat Aisha ne woh ajeeb box wala scene dekha tha.
To be continued
Khula Darwaza
Society ke bahar sab log ek hi baat kar rahe the.
"Darwaza raat se khula hai…"
"Andar koi jawab nahi de raha…"
"Kuch toh ajeeb hai…"
Aisha aur Zoya bhi bheed mein khadi thi. Aisha ka dil tez dhadak raha tha, kyunki woh jaanti thi ki kal raat usne isi flat mein kuch strange dekha tha.
Tabhi society ke guard aur do log aage badhe.
"Chalo dekhte hain," guard ne kaha.
Sab dheere-dheere us flat ke paas gaye. Darwaza sach mein aadha khula tha. Andar bilkul khamoshi thi.
Aisha ne Zoya se dheere se poocha,
"Yahan kaun rehta hai?"
Zoya ne kaha,
"Ek aadmi… lekin woh zyada kisi se baat nahi karta."
Guard ne darwaza thoda aur khola.
Sab log andar jhankne lage.
Flat andar se kaafi saaf tha… lekin ek ajeeb baat thi. Table par kuch papers pade the aur balcony ka door khula hua tha.
Aisha ka dimaag turant kal raat wali baat par chala gaya.
Tabhi Zoya ne dheere se kaha:
"Balcony…"
Aisha aur Zoya dheere-dheere balcony ke paas gaye.
Neeche ground mein ek chhota sa box pada hua tha — wahi box jo Aisha ne raat ko dekha tha.
Aisha hairaan ho gayi.
"Matlab jo maine dekha tha… woh sach tha," Aisha ne socha.
Tabhi achanak peeche se awaaz aayi:
"Tum log yahan kya kar rahe ho?"
Aisha aur Zoya jaldi se mudkar dekhti hain.
Wahan Mr. Khan khade the… aur woh unhe bahut serious nazar se dekh rahe the.
Unhone dheere se kaha:
"Is society mein zyada sawaal poochna… kabhi-kabhi achha nahi hota."
Aisha ko tab feel hua ki yeh mystery abhi bas shuru hui hai.
To be continued…
Chapter 4 – Box Ke Andar Kya Tha
Mr. Khan ki baat sun kar Aisha aur Zoya thodi dar gayi, lekin Aisha ki curiosity aur badh gayi thi.
Log dheere-dheere wahan se chale gaye, lekin Aisha ke dimaag mein bas ek hi baat thi — neeche pada hua box.
Shaam ko Aisha chupke se ground floor par gayi. Usne idhar-udhar dekha… koi nahi tha.
Box abhi bhi wahan pada hua tha.
Aisha dheere se uske paas gayi.
"Bas ek baar dekh leti hoon," usne socha.
Usne box khola.
Andar kuch papers, ek purani diary aur ek chhota sa keychain tha jisme society ka naam likha tha.
Aisha ne diary uthayi aur pehla page khola.
Us par likha tha:
"Green View Society utni simple nahi hai jitni log samajhte hain. Yahan kuch log ek secret group ka hissa hain…"
Aisha ka dil tez dhadakne laga.
"Secret group…?" Aisha ne dheere se kaha.
Tabhi achanak kisi ne peeche se awaaz di:
"Aisha!"
Aisha ghabra kar mudti hai. Woh Zoya thi.
"Tum yahan kya kar rahi ho?" Zoya ne poocha.
Aisha ne diary dikhayi. Zoya bhi shock ho gayi.
"Yeh toh serious lag raha hai…"
Tabhi Aisha ne diary ka last page khola.
Us par sirf ek line likhi thi:
"Agar tum yeh padh rahe ho… toh shayad agla number tumhara ho sakta hai."
Aisha aur Zoya dono ek dusre ko dekhne lagi.
Aur us moment par unhe samajh aa gaya…
Yeh sirf ek normal mystery nahi hai.
To be continued…
Chapter 5 – Secret Group
Aisha aur Zoya bench par baithi hui diary ke pages dekh rahi thi. Diary mein kuch ajeeb notes likhe the — dates, flat numbers, aur kuch logon ke naam.
"Yeh sab kya hai?" Aisha ne poocha.
Zoya ne ek page par ungli rakhi.
"Yeh dekho… yahan likha hai 'Meeting – Midnight – Terrace'."
Aisha hairaan ho gayi.
"Matlab society mein koi secret meeting hoti hai?"
Diary ke ek aur page par ek naam baar-baar likha hua tha:
Mr. Khan
Aisha ka dil ek moment ke liye ruk sa gaya.
"Matlab Mr. Khan bhi…?" Aisha ne dheere se kaha.
Zoya ne serious face se kaha,
"Mujhe lagta hai society mein kuch log milkar kuch chhupa rahe hain."
Us raat Aisha ne decide kiya ki woh sach pata karegi.
Raat ke 12 baje, Aisha aur Zoya chupke se terrace par gaye.
Terrace par light kam thi aur hawa tez chal rahi thi. Dono ek wall ke peeche chup gaye.
Thodi der baad kuch log terrace par aane lage.
Aisha ne dheere se dekha… aur shock ho gayi.
Wahan Mr. Khan the… aur unke saath Mrs. Sharma bhi thi — wahi aunty jinhone Aisha ko warning di thi.
Aur bhi 3 log wahan khade the.
Unmein se ek ne kaha:
"Lagta hai kisi ko diary mil gayi hai."
Aisha aur Zoya ka dil zor se dhadakne laga.
Tabhi Mr. Khan ne kaha:
"Is baar humein bahut careful rehna hoga."
Aisha ko laga jaise yeh sab uske baare mein baat kar rahe hain.
Tabhi achanak Zoya ka pair halka sa hil gaya… aur ek awaaz ho gayi.
Sab log ek saath us direction mein dekhne lage.
Mr. Khan ne zor se kaha:
"Kaun hai wahan?"
Aisha aur Zoya samajh gayi…
Ab unka secret pakda ja sakta hai.
To be continued…
Chapter 6 – Sach Ka Pehla Hissa
Terrace par sab log us direction mein dekh rahe the jahan Aisha aur Zoya chupi hui thi. Aisha ka dil itna tez dhadak raha tha ki use laga sabko awaaz sunayi de rahi hogi.
Zoya ne dheere se kaha, "Humein yahan se nikalna hoga."
Lekin tabhi footsteps unki taraf aane lage.
Aisha ne himmat karke wall ke peeche se bahar kadam rakha.
"Main hoon…" Aisha ne kaha.
Sab log usse dekhne lage. Mr. Khan ka expression serious tha.
"Tum yahan kya kar rahi ho?" Mr. Khan ne poocha.
Aisha ne diary aage kar di.
"Mujhe yeh box mein mili… aur mujhe sach jaana hai."
Kuch seconds tak terrace par bilkul silence tha.
Phir Mrs. Sharma ne gehri saans li aur boli:
"Lagta hai ab sach batane ka time aa gaya hai."
Aisha aur Zoya dono confuse ho gayi.
Mr. Khan ne dheere se kaha:
"Yeh koi normal secret group nahi hai."
"Matlab?" Aisha ne poocha.
Mr. Khan ne terrace se society ki taraf ishara kiya.
"Is society mein kuch saal pehle ek bada problem hua tha. Tab se hum kuch log milkar society ko safe rakhne ki koshish kar rahe hain."
Aisha hairaan ho gayi.
"Safe? Kis se?"
Tabhi Mr. Khan ne kaha:
"Is society mein koi aisa hai… jo bahar se normal lagta hai, lekin woh logon ki information secretly collect kar raha hai."
Zoya shock ho gayi.
"Matlab koi spy jaisa?"
Mr. Khan ne haan mein sir hila diya.
"Isi liye hum secret meetings karte hain. Aur jo diary tumhe mili… woh us insaan ko pakadne ke clues hain."
Aisha ab aur curious ho gayi.
"Phir woh insaan kaun hai?" Aisha ne poocha.
Mr. Khan ne dheere se kaha:
"Hum abhi tak sure nahi the… lekin ab lagta hai woh insaan society ke andar hi hai."
Aisha ke dimaag mein ek hi baat ghoom rahi thi.
Matlab jis society ko woh normal samajh rahi thi… wahan koi secret game chal raha tha.
Aur shayad…
Aisha bhi ab us game ka hissa ban chuki thi.
To be continued…
