WebNovels

Chapter 1 - Adhoori mohabbat ki Aakhri Baarish

Mera naam naira hai aur main meri khud ki ek Mohabbat ke bare mein likhna chahti hun jo hamen jindagi mein bahut kuchh sikhane ko degi.

Barish hamesha se Aarav ko pasand thi lekin use din ki barish uski jindagi ke sabse gehri yad ban gai Sham ka waqt tha Aasman mein Kale Badal the hawa thandi thi aur sadak per girti bune Ajeeb sa sukun de rahi thi Aarav apni purani bike le jakar usi cafe ke bahar khada tha jahan main use pahli bar Mili thi aur Aaj bhi vah vahi use kone wali table ko dekh raha tha use sab yad tha main safed kurta pahani hue Bal halke se bandhe bandhkar ek kitab mein koi baithi thi hawa mere balon ko chehre per la Rahi thi aur main unhen kanon ke piche kar rahi thi Aarav ne pahli bar dekha aur Shayad usi per har Gaya use nahin pata tha ki ek din vahi ladki uski sabse khubsurat yaad aur sabse bada Dard ban jayegi.....

....Pehli Baat..

Aarav ne himmat karke poochha main yahan baith sakta hun kya? nayara ne halka sa muskura kar kaha agar aap shor nahin karenge to baith sakte hain baat wahi se shuru Hui kitaabon se fir filmon se fir shabdon se nayara ko purane gane pasand the vah kahati thi unke gane sidha Dil Ko chhu jaate Hain Aarav hasta tha or bola mere se ki main perfect hun kyunki Mera Dil pahle se hi thoda tuta hua hai dheere dheere dono roj milane Lage sham ko Nadhi ke kinare baithana unki aadat ban gai thi nayara Aksar kahati Pani kabhi rukta nahin bilkul bhakt ki tarah hai Aarav us waqt bus muskura deta.

use kya pata tha ki waqt hi unhen alag kar dega.

... Iqraar.....

Ek din halki barish ho rahi thi nayara khuli bahon se boondon ko mahsus kar rahi thi Aarav use bas dekhta rahe Gaya Achanak usne kah diya nayara mujhe tumse pyar hai Naya chup ho gayi uski aankhon mein dar bhi tha aur Khushi bhi mujhe pata tha usne dheere se kaha kyunki mujhe bhi tumse pyar hai vah pal unki jindagi ka sabse khubsurat pal ban gaya tha.

barish unke pyar ki gavah ban chuki thi.

donon ne sapne dekhe Chhota sa Ghar,khidki per paudhe, har Sham sath chai. lekin jindagi sapno se nahin chalti.

.....sach.....

Kuchh mahine bad nayara badalne lagi calls kam,message chhote, mulakat kam

Aarav ne ek din poochh liya sab theek hai?nayara ne Aankhen jhuka Li ghar mein thodi problem hai asal mein uski shaadi Tay ho chuki thi. ek Amir ladki se Parivar ke liye perfect rishta tha nayara ne bahut koshish ki lekin gharwalon ke faisle ke aage uski awaaz kamjor pad gayi woh h toot Rahi thi.lekin usne Aarav ko sach nahi bataya kyunki woh janti thi Aarav sab chhod kar ladne a jayega aur woh nahin chahti thi ki uski vajah se Aarav apne maa-baap se door Ho.

... Aakhri Mulakat.....

Shaadi se ek hafte pahle Nayara ne Aarav ko usi cafe mein Bulaya Aaj woh bahut khubsurat lag rahi thi lekin Aankhen roi hui thi agar main tumhare sath na rah paaun to?usne poochha Aarav Hans pada.filmi baatein mat karo Nayara roo padi meri shaadi ho rahi hai Jaise sab kuchh ruk gaya Aarav ko laga kisi ne uska Dil jor se Tod Diya tumne mujhe bataya kyon nahin Nayra.

kyunki main tumhen tootte hue nahin dekh sakti thi.

bahar barish shuru ho gayi Nayra ne hath badhaya mujhe maaf kar dena.

aarav ne uska hath nahin pakda Bus use dekhta Raha Jaise apni Puri duniya Ko dur jaate dekh raha ho.

..... Vidaai....

Shaadi Wale din bhi barish ho rahi thi Aarav dur pada tha nayara Lal jode mein thi ek pal ke liye donon ki najar Mili use najar mein hajaron baten chhupi thi fir baarat Chali gayi aur Aarav wahi rah Gaya bhigta hua us.din sirf nayara nahin gayi thi.

uski Hansi,uske sapne,uska future sab kuchh chala gaya tha.

... Saalon Baad.....

5 saal Baad Aarav ne Shahar Badal liya kaam mein khud Ko dhal Diya ek din social media per usne nayara ki tasveer dekhi wah muskura Rahi thi uske sath uska Chhota beta tha.

caption >" jindagi Jaisi hai khubsurat hai ".

Aarav ne screen ko der tak dekha fir dheere se muskura Diya us Raat bhi baarish ho rahi thi usne Aasman ki taraf dekh kar kaha main Aaj bhi tumse bahut pyar karta hun lekin ab tumhari Khushi ke liye aankhon mein aansu the lekin Dil mein sukun kuchh Mohabbatein milane ke liye nahin Hoti wah bus hamein sikhane ke liye hoti hain

ki pyar ka matlab sirf pana hi nahi hota chhodana bhi hota hai kabhi-kabhi.

Yah thi meri jindagi ke us pal ki kahani Jahan main sirf is Puri duniya mein itni Abadi hone ke bavjud bhi sirf ek Insan se pyar karti thi per mere maa baap ne mere se wah bhi chhin liya bus main ye batana chahti Hun ki har bar yah Sahi nahi hota ki aapke maa baap sahi hai kabhi kabhi wo khud ki Khushi ke liye, khud ke paiso, ke liye khud ki jagah ke liye, khud ki Ghar grihsthi ke liye apne bachon ki zindagi ujad dete h.

per main abhi itni umra ki bhi nahin hun per Maine apni zindagi mein itna sab kuchh dekh liya hai ki main ek acche se acche Insan ko Sahi rasta Bata sakti hun aur Rahi baat Mohabbat ki to jaruri nahin ki Mohabbat shaadi Ho tabhi Mohabbat Hoti hai Radhe aur Krishna ki bhi to shaadi nahin Hui per Mohabbat hai main Aaj bhi Aarav se utani Mohabbat Karti hun jitni ki aarav mere se karta hai agar Aarav mere pass hota to main yah sab likha hai to main aapko Bata ti pr apsosh ki Aarav mere pass nahi hai per koi baat nahin Aaj bhi main aarav se Dil se utna hi pyar Karti hun jitna ki Aarav mere se Karta hai.

I love u Aarav

More Chapters