WebNovels

Chapter 1 - AK khaufnaak daastan

Aditi, jo ki ak 16 saal ki ladki thi . Apne ma papa ki ladli , jo apni padhai ka pura dhyan rakhti thi.

AK raat sab so rahe the achanak Aditi ki neend khuli , vo dar se kaanp rahi thi . Vah dheere se uthi aur bahar aangan me jakar pani piya for aasman ki dekhar gahri saans li aur sone chali gayi.

Agli subah , jab vah uthi to usne kisi ko kuch nhi bataya . Usne apna dar kisi ko nhi bataya taki sab pareshan na ho . June ka maheena chal raha vo school bhi nhi ja sakti thi , chhutiya chal rahi thi aur uska mobile bhi do maheene se kharab tha to vo apni dost se bhi baat nhi kar paa rahi thi. Abb vo apne aap me hi khoyi rahti thi , uska padhai me man hi nhi lagta , aur abb to ye sab roj hone laga tha . AK din usne subah uthkar socha ki vah aaj sach ka pata lagayegiki aakhir use aaisa sapne roj roj kyu aata hai.

Usne apne papa se kaha "papa mujhe apne purane ghar jana hai ".

Papa ne use saaf mana kar diya fir use bahot jid ki magar papa nhi mane aur use bohot data , maa ne bhi bohot kaam kheenche.

Vah room me jakar rone lagi , tabhi uska chota bhai (Raju, jo usse ak hi saal bada tha) uske paas ayaa aur pucha ki tum vaha kyu jana chahti ho. Aditi ne pahle to kuch nhi kaha magar bhai ke jayada puchne par usne sab bata diya , pahle to bhai bahot hasa ki yaar se to bas sapne hi tha na itna serious kyu ho Rahi hai , magar Aditi ke jayada rone par vahi bhi serious ho gya.

AK din Aditi bahar park me baithi thi ,ghar me koi nhi tha sirf vah aur raju the , maa mandir gayi thi aur papa bade bhai( Deepak) ke saath kaam se saher se bahar gaye the tabhi Raju andar se bhagta hua aaya aur bola "chal Aditi ".

Aditi ne pucha "kahan".

Raju bola "maine papa ke kamre se us ghar ki chabhi dundh li hai , chal chalne hai vaha".

Aditi khush hokar boli"haa jarur, chalo tum apni bike nikalo ham sab ke aane se pahle vapas aa jayenge".

Raju "hmm".

Dono uss ghar ke liye nikal gaye .

Jaise hi ghar pahuch kar ghar ka door khola achanak tej aur thandi hawa ka jhonka unhe chu kar nikla jaise vo vaha aaye nhi hai balki laye Gaye hai . Dono ko dar lagne laga kyuki dono isse pahle iss ghar me nhi aaye bas baha se ho dekha tha dono ne .keval unke papa hi vaha aate the aur sabko vaha jane se rokte the khaskar Aditi ko to kabhi bhi nhi laya gya yahan.

Dono bhai bahen ne kaskar ak dusre ka hanth pakda hua tha.

Jaise hi Aditi ne ghar me kadam rakha har cheez apni jagah par hilne lagi , vo bulb jo kharab ho chuke the apne aap jalne bujhne lage aur tut gaye , Aditi aur uske bhai ki sanse ruk gayi .

Udhar maa ghar pahunchi to Aditi aur raju ghar me nhi the fir maa ne papa ko phone Mila sab bata diya . Papa aur Deepak dono seher se nikal gaye , dono gusse me the .

Idhar Aditi aur raju thoda himmat karke aage badhe to kisi ke sisakne ki aawaj aayi , dono ke hanth pair sunn pad gaye , dono vahi dubakkar baith gaye.

Idhar papa Deepak ko apne ghar me chhodkar khud purane ghar ki taraf bhage , ghar jayada dur nhi tha. Ve pahuch gaye aur dekha ki darwaza khula hai , ve hairan rah gaye aur andar ki taraf bhage , andar jakar unhone dekha ki dono bhai bahen farsh par baithe the.

Papa ko dekh kar dono ko jaan me jaan aayi , papa ne dono ko kheech ke bahar nikala aur tala band karke dono ko ghar liwa kar laye.

Ghar laakar aditi aur raju ko bahot daant padi fir dono room me chale gaye

Aakhir aaisa kya tha uss ghar me?

Aur Aditi ko iss ghar jane kyu nhi diya jata tha?

Aakhir papa ko itna gussa kyu aaya?

Aur Aditi ko vo sapna kyu aata hai?

Kya Aditi ka koi raaj hai vahan ?

Padhiye aage ...kal subah 10 baje

More Chapters