WebNovels

Chapter 1 - MEHHNAT. (STRAGGLE)

Yeh, kahani Raju name ke ladke ki hai. Jo ke gareeb, parivar se hai. Raju ke Mata pita bahut, he Gareeb thae uska or aapna payt paltay Thai.or Raju ki ek pyaari se behan bhi hai Jo ji shaadi Layak hai . Raju kay Mata pita ko Raju ki behan Swati ki shaadi ki bahaut chinta rahti thi or Raju ki Bahan padai bhi kar rahi thi .Raju 16.Saal ka tha .or Raju ki behan 21 Saal ki . Raju aapni ghar ki halat jaanta tha or vo jayada kisi say baat bhi nhi karta tha bus aapni padai par dhayan dayta tha .Raju sab jaanta tha ki Raju kay pita or Mata dono hi kis Tarah say unka payt paal Rahe Hai. Raju ki maa silai karti thi .or aapnay mohallay valo kay kapaday Sil kar dayti thi or Raju kay pita ji ek halwai kay yaha mithai bananay ka kaam kartay thay .es Tarah say unki zindagi chal rahi thi.raju aapnay pita or Mata ko itni mehnnat karta dekhta or souchta ki raju baday hokar ek bada business baneyga .Raju ka ghar bhi purranay type ka bana hua tha vo ghar bhi kiraye ka tha Har mahinay palak chapaktay kiraya aata or makaan ka Malik kiraya laynay Har mahinay aata .Har mahinay kiraya itna Dayna Hota tha ki ghar may rashan bhi muskil say bhar Pata tha .or light bhi jaati hi rahti thi.kai baar toh bizali ka bill bhi nhi bharr patay thay or kuch din andharay may hi kaatna padata tha .light na honay ki vajah say Raju kay Mata pita or Raju ki behan ko bahaut struggle karna padta.raju jab dekhta Raju ki maa andhrray may silai kar rahi hai candle 🕯 jalakar ,or behan Bena light kay khana Bana rahi hai toh ussay bahaut bura lagta or jab Raju kay pita kaam par say aatay toh Pata lagta ki bizali ka bill na baharnay ki vajah say light kaat di gai hai toh vo aapna murjhaya hua chehra laykar room may udaas aankon say sabko dekhtay or bolay ki Kal Malik say Kah kar kuch paysa uddhar lay Lunga or chup chaap khana khanay lagay . Or bolay Raju ki maa kab tak aapni aankhay andharay may phodti rahogi Kal subah roshni may silai kar layna .or Raju ki maa say bolay meray sath hi aakar khana Khao. Raju ki behan kafi samjhdaar thi .vo sabko khana khilati or jab sab khana khaa laytay toh sabki thali may thodi sabji ,thodi roti bator kar ikktha karti or Jo banaya tha usmay say bhi thoda milakar julakar khaa layti thi or aapna aada payt bharti. Par sabko payt bhar kar khana khilati.raju ek din aapni badi behan say bola did tum akhelay baad may kyu khana khati ho hamaray sath hi khana khaya Karo tab Raju ki behan Swati nay bola array meray bholay bhalay bhaiya tum sab pehlay khaa lo tumhay garam garam khana kilana mujhe aacha lagta hai. Or Hass padi.ek din shaam ka samay tha or Raju ki behan khana Bana kar hi chuki thi .Raju kay pita ghar aagay thay or bahaut khush thay Raju kay pitaji saari kamai laakar aapni beti or aapni Patni kay hath may daytay thay Raju ki maa kay pass kiraya ka paysa zamma kartay or beti kay pass ghar ka rashan ka samana ka paysa zamma kartay.raju ko sab Pata tha ki uska ghar kis Tarah say chal raha hai.raju padnay may bahaut hoshiyaar tha.or vo aapni padai par hi dahyaan dayta .mohallay kay ladkay roj Bahar khelnay jaatay khub hassi mazak kartay par Raju aapnay dosto kay bulanay par aapnay dosto ko mana Kar dayta or Har baar koi naya bahana laga kar unhay mana Kar dayta .kyucki vo jaanta tha ki uskay yaar dost Bahar gumtay firatay hai aur Bahar aacha paysa bhi kharach kartay hai .esliye vo pehlay say hi mana Kar dayta tha kyucki Raju ko aapnay ghar ki halat Pata thi .

Raju ki Bahan bhi kafi badi hogai thi maa baap kay sath sath Raju kay sar par unki zimmaydari bhi aa rahi thi kyucki aagay jaakar Raju ko hi sab sambhaal na hai aysa Raju souchta tha . Sunday ko Raju kay pitaji ki chutti hoti or Raju kay pitaji bahaut hi pyaar say sab ghar walo kay liye swadish swadish mithai banatay or pitaji ko dekh Raju ko bhi mithai bannay ka shock lag gaya .jab Raju kay pitaji ghar par Har baar mithai bantay toh Raju badi dhyaan say dekhta ki kis mithai may kitni kitni samagri or kitnay gram samadari daleygi or Raju jab puchta pitaji aap itni samagari kaha say laye toh Raju kay pitaji bolay hum Jo Malik ki dukaan par mithai banatay hai thodi thodi baach jati hai toh Malik say puchkar lay aata hu .Raju kay pitaji hamesha swadish mithai banatay thay kabhi ladoo,kabhi gehwar,jalebi,etc...Har Tarah ki mithai aapnay pitaji ko banata dekh ab Raju kuch kuch mithai Sikh raha tha or kabhi kabhi aapnay pitaji say puch puch kar banata aur jaha galti hoti Raju kay pitaji ussay samjha kar us galati ko thik karnay ka tarrika samhja Tay.fir Raju aapni galati ko thik karnay ki koshish karta or Raju nay shuru shuru may mithai bannai toh uska Kai baar hath bhi jalta or uski pyaari behan uska hath jalta dekh aapnay aapko rok nhi pati or Raju ka hath jalta dekh us par haldi ka layp laagti Swati aapnay bhai Raju say bahaut pyar karti thi .Raju bhi aapni didi ko bahaut chahta tha or uskay liye kabhi kabhi mithai bannanay bayth jata tha.raju ki mithai may aab bahaut swad aanay laaga tha or vo ab Har Tarah ki mithai bana layta tha yeh sab dekh kar Raju kay pita ji kush hotay thay or boltay thay chalo kuch toh sikha es Raju nay Mera yeh hunnar.kyuki Raju kay pitaji nhi chahtay thay ki Raju kisi kay yaha nokari karay Raju kay pitaji Raju ko bahaut hi aacha business man banana chahtay thay .waqt deeray deeray aagay bad raha tha or Raju ki behan ki Umar bhi Raju kay pitaji ko aapni beti ki chinta satati thi . Kab baar Chinta honay ki wajah say Raju kay pitaji ko nind bhi nhi aati thi vo bus yahi chahtay thay ki Swati ka vivah ek aachay ladkay say ho jaye or Raju kay pitaji aapni beti Swati ka vivah kar day or Raju ko ek aacha saacha business man bana day Har maa baad ki eccha hoti hai Jo bhi unhonay buray time may face kiya ho vo sab unkay baacho ko face na karana paday. Jab bhi Raju ki maa ghar kay Bahar jati toh Har koi raastay may tok hi dayta ki aapni beti ki shaadi kab karogi koi yogya var dekh kar aapni beti ki shaadi kar do .Raju ki maa bolti ha koi aacha ladka nazar may ho toh batana .padosi or rishtaydaar yahi tana maar kar baar baar Raju ki maa ko preshaan kartay or Raju ki maa ki chinta badti rahti par jab Raju aapni maa ko preshaan dektaa toh aapni maa ko samjhata ki maa jab didi ki shaadi ka waqt aayega tumhay Pata bhi nhi chalega or didi ki shaadi bhi ho jayegi tum vayarth may hi chinta karti ho or Raju nay aapni maa ko samjhatay huay khaha ki yeh sab padosi or rishtaydaar aaj Kal kisi ki madad nhi kartay vo jab dekhtay hai ki koi bhi insaan dukhi hai usko or dukhi karnay laagtay hai Raju nay aapni maa ko samjhaya maa tum bagwan par Pura vishvaas rako bagwaan koi na koi rasta Jarror nikalay ga or ghar kay mandir ki taraf udaas aankon say bagwaan kay pass jakar bola hay Prabhu kitni pariksha logay mujhe aapnay liye kuch nhi chahiye prabhu aap meri behan ki shaadi ek aachay ladkay say Kara do Jo meri behan ko hamesha khush rakhay or meri behan ka khayal bhi.bus yahi sab Mann may bol kar Raju dukhi Mann say padnay chala gaya...

Raju ko padtay padtay ek khayal aaya ki may aapnay maa or baap kay liye aaysa kyaa karu ki meray maa or pitaji ki kuch ghar may help ho sakay tabhi usnnay soucha ki Raju kay pitaji hamesha yehi boltay rahtay hai ki kuch toh hunnar aaya Mera tujhe may.manno Raju ko ek mazil hi mil gai ho or Raju nay aapnay pitaji say bola pitaji aapko toh Pata hai ki may kitni aachi mithai bana layta hu pitaji may souch raha hu may ghar say mitai banakar Bahar jaakar baychu par pitaji mujhe kuch paysao ki zaroorat padaygi Raju kay pitaji kush huay or bolay chal raju tunnay kuch toh soucha aagay kay baaray may .Raju kay pitaji bolay ki mithai ka Saman toh may laa dunga par mithai bechay ga kaha dukaan toh badi mehangi padaygi Raju bola mujhe Pata Hai pitaji ghar ki kya halat hai mujhe mithai baychanay kay liye dukaan ki zarrorat nhi hai ek chhoti si Raydi bhi chalaygi .Raju kay pitaji nay Raju ko bola Haa yeh idea toh aacha hai may raydi (thayla gadi) .ka intzaam karta hu.....

Raju kay pitaji aapnay kamray may sonnay chalay gay or souchnay laga ki unhonay Raju ko bol toh diya hai ki may payso ka intezaam kat lunga par karunga kaysay Malik toh mahinay par hi pagaar dayga yeh sab baat Raju ki behan nay sunn li thi or vo boli pitaji aapkay pass kuch toh thodi Rakam hogi pitaji bolay haa kuch toh rakhi hai par itnnay payso may mithai rikhsaw,( thayla gadi) nahi aa payegi Raju ki Bahan boli pitaji aap preshaan mat ho maynay kuch khar kay rashan may say kuch paysay baacha kar rakhay hai may aap ko abhi laakar dayti hu .yeh sab dekh Raju kay pitaji bahaut khush huay or bolay ghar kharch pehlay hi itni mushkil say chalta tha or tumnay meri beti kuch paysay bhi baacha liye Swati boli pitaji Jo bhi aap ghar kharch daytay day may usmay say 100 rs baacha layti kabhi 50 rs baacha layti yahi choti choti saving meri ab kuch badi Rakam bad gai Raju kay pitaji bahaut kush huay ki ab unkay dono baachay samajhdaar ho Gaye Hai. Tabhi Swati nay jaakar pitaji ko paysay laakar diye pitaji nay Swati kay diye paysay or aapnay paysay milakar ek raydi ( thayla gadi) kharid li .or jab Raju ko es baat ka Pata chala ki pitaji Raju kay liye raydi ( thayla gadi) laa Rahe Hai toh vo bahaut khush hua or bagwan ka shukriya karnay mandir gaya or jaysay hi ghar aaya toh Raju kay pitaji thayla gadi lay aaye thay mithai ki .raydi ko dekh kar Raju bahaut khush hua or bola dhanyawad pitaji aaj aapnay Mera sapna Pura karnay may madad ki .Raju ki maa tabhi ghar kay Ander gai or Pooja ki thali Lai or mithai ki raydi ka fool or droop deep say Pooja ki ab Raju bola ki maa ab tumhay silai nhi Karni padaygi may es par roz alag alag parkaar ki mithai baychanay jaaunga Raju ki maa Raju kay sar par hath fayr kar boli haa beta or huss kar rahu ki behan boli maa pitaji ab aapka beta bhi business man ban gaya .Raju ki behan boli esi bahanay mujhe bhi ab roj mithai khanay ko milay gi .Raju bola kyu nhi didi tum roz mithai khana or ab aglay din subh Raju jaldi uth gaya or naha dho kar taaiyaar hua or ghar kay mandir may Pooja ki or dheeray say rasoi ghar may gaya or mithai bannani shuru kar di .Raju aram say chup chap deeray deeray esliye mithai bana raha tha ki sab ghar may soorahay thay or vo nhi chahta tha ki uski vajah say koi preshaan ho ya kisi ki nind kharab ho.raju nay derray derray 5 Tarah ki mithai bannai .....

jismay ,laddoo,jalebi,payday,kalakand,burfi thi .ab Raju ki saari mithai ban gai ab Raju nay aapni maa ko jagaya or bola maa may kaam par jaa raha hu .maa boli array Raju tu kab jaga mujhe Pata bhi nhi chala .or jab maa khadi hui or rasoi ghar ki taraf gai toh Raju ki maa 5 Tarah ki mithai dekh kar khush ho gai or boli array wah Raju tumnay toh 5 Tarah ki mithai bana bhi li or Raju nay aapni thayla gadi par ek kapada bichaya or mithai laagani shuru kar di fir Raju mithai bachannay chala gaya .Raju nay soucha ki mithai ki raydi( thayla gadi) kaha lagau jaha jayda log aaye aur mithai bhi jaldi bik jaaye fir ussnay soucha kyu na mandir kay pass hi raydi laagai jaaye,Raju bagwan ka naam laykar mandir kay pass kada ho gaya or aapni mithai sabsay pehlay bagwan ko bhog lagai or fir aapnay kaam par lag gaya .Raju ka pehla din tha Raju kay yaha kuch log aakar mithai li or bhog laagakar bhagwan par fir aapnay aapnay ghar lay Gaye..Raju ki mithai jin jin logo nay li thi unhay Raju ki mithai bahaut pasand aai. Or roz kay customer ban Gaye Raju kay kuch log roz mandir aatay or Raju say hi mithai laytay or Raju ki mithai ki taarif bhi kaartay .Raju ka kaam ab aacha chaalnay laaga .yeh sab dekh kar Raju kay pitaji ko bhi aacha laagta or Raju nay deeray deeray paysa ikatha kiya or par Pai jodkar aapnay pitaji or maa kay liye ek ghar kharida Raju ki kaamiyabi

Dekh kar Raju kay pitaji bahaut khush thay ab Raju kay pitaji aapnay purranay kirraye kay ghar ko chodkar aapnay naye ghar may Gaye or Raju kay pitaji kay sar par say kiraye ki bhi tension dur ho gai ...

Raju kay pitaji Jo pehlay kirraya makaan Malik ko daytay thay ab vo un payso ko jodnay lag Gaye or kuch 3 Saal baad Raju ki behan ki shaadi kay liye bhi paysao ka intezaam ho gaya .Raju ki kadi mehnnat ( straggle) . Dekh kar Raju kay pitaji ko bahaut Khushi hoti ki jo vo kabhi nhi kar paye vo Raju nay kar dikhaya .

Ab Raju kay pitaji nay aapni beti kay liye zewar ( jewelry) banvani shuru ki or ab vo waqt aahi gaya ki Raju ki didi kay liye ek aacha ladka mil hi gaya .ladka kafi aacha tha or swati ko bhi pasand tha .Raju kay pitaji nay aapni beti Swati ka vivah kar diya.swati kay Pati ka naam Ashok tha .Ashok kafi pada likha insaan tha or bank may manager tha.swati bhi bahaut khush thi Raju kay pitaji nay sabhi logo ,padosi or rishtaydaaro ko shaadi may amantrit kiya or kub saaray pakwaan or mithai banvai .ladkay valo ki khub aao bagat ki Swati ko bhi yogya var mil gaya .padosi or rishtaydaar souch Rahe thay ki Swati ko itna aacha ghar kaysay mil gaya .or Jo Swati nay gold kay zewar pahan rakha tha sab log dekh kar hayraani may thay jissay hum fakir samjhtay thay us Raju kay papa nay toh badi aachay say aapni beti ki shaadi ki .....

Ab Swati Vida hokar chali gai or Raju kay pitataji kay sir par say ek zemedaari khatam hui ...

Raju ko es Tarah kamiyaab dekh Raju kay pitaji bahaut khush thay ab Raju kay pitaji nay aapnay Malik ki dukaan may nokari chod di or ab vo Raju kay sath uskay thalay gadi par hi uskay sath subhjatay or raat ko kama kar Raju kay sath hi aatay yeh sab dekh Raju ko bhi aacha laagta ki pitaji Raju kay kaam may hath batatay....

Raju girrako ko kis Tarah say attend karta yeh dekh uskay pitaji souchatay ki Raju ab kafi bada ho gaya hai ab aapni zemedaari bhi samajhnay laaga hai kaam kartay kartay ab Raju 25 Saal ka hogaya usnnay itni Kam ummar may aapna khud ka ghar lay diya tha or aapni behan Swati ki bhi shadi karwa di thi pitaji kay sath milkar ...

Ab Raju kay pitaji ki bhi tabiyat kharab rahnay lagi thi ab Raju kay pitaji nay Raju say kaha ki ab Raju Teri bhi shaadi Kara hi dayta hu .Raju ji bola pitaji abhi thoda ruk kar karunga pitaji nay kaha beta ab waqt aahi gaya hai Teri shaadi ka .par Raju kay Mann may toh kuch aur hi chal raha tha Raju chahta tha ki vo pitaji ka sapna Pura kar day tabhi shaadi karega par pitaji ko Raju kay sapnay kay baaray may nhi paata tha .fir ek din Raju apni mithai baychanay gaya or uskay pass ek bahaut bada vayapaari aaya usnnay Raju ki mithai ki taarif sunn rakhi thi vayapaari bola Raju may bahaut bada vayapaari hu or tumsay bahaut saari mithai kharidna chahta hu or aapnay Bahar kay vidayshi garakho kay sath business karna chahta hu Raju ko vyapaari nay kuch advance pakdaya or bahaut saari mithai ka order diya .Raju khus ho gaya or bhagwan ka shukriya kiya ki aaj bhagwan ki vajah say or Raju kay pitaji kay hunnar say vo aaj itna baada vyapaari ban gaya ki desh Videsh may bhi Raju kay mithai ki publicity ho gai or ab Raju nay ek dukaan bhi khareed li .ab ussnay pitaji ko dukaan laynay kay baad ek surprise daynay ka soucha or ghar aakar bola pitaji Kal jaldi aapko meray sath chalna hai or phir pitaji subh jadi taiyaar ho Gaye or bolay Raju may taaiyaar ho gaya hu bolo kaha chalna hai or Raju aapnay sath pitaji ko lay gaya or bola pitaji maynay aapka sapna Pura kar diya pitaji ko samajh nhi aara tha ki Raju kya pahayli bujha raha hai par thodi durri par jaakar dekha ki Raju aapni dukaan kay pass pita ji ko lay gaya or bola pitaji yah lo chabhi pitaji bolay Raju beta tu kis ki dukaan par mujhe lay aaya hai .Raju Hass kar bola pitaji yeh aapki hi dukaan hai .Raju kay pitaji ki aankon may Khushi kay aasu aagay or bolay Raju tunnay toh mujhe nokar say Malik banna diya or Raju ko galay say laaga kar Raju ka Matha chum liya .or ab Raju kay pitaji or Raju or dukaan jaakar Malik bankar baydatay or unka kaam ab kub chalta or Raju kay pitaji ko bhi Malik bankar bandana aacha laata ab Raju ki mehnat rang laanay laagi .or Raju kay pitaji nay bola beta Raju meray sapnay purray kartay kartay tu aapnay sapnay toh Pura karna nhi bhul gaya .Raju bola pitaji aapkay or meray sapnay aalag hai kya or huss pada tabhi Raju kay pitaji nay bola ab toh Teri didi bhi shaadi karkay chali gai beta saara kaam Teri Maa akelay nhi kar Pati ghar sambhalay kay liye Teri biwi bhi honi chahiye hum bhi Tera baacho ko kilana chahtay hai dekh Raju tunay hamesha meri saari baat maani hai ab tu inkaar nhi kar sakta ab sab aacha hi hoga .Raju Maan gaya or Raju ki maa kay pass ek achhi ladki ka rishta aaya or ladki ki photo mangvai or ladkay ko dikhai ladki ka naam jyoti tha Raju ko bhi ladki pasand aai bola maa may ek baar ladki say milna chahta hu .uski maa nay aapnay rishtay dear ko bola pehlay ladka or ladki ek dusray ko dekh lay tabhi rishta pakka hoga or finally vo din aahi gaya Raju nay jyoti ko jab dekha jyoti photo say bhi jayda aachi lag rahi thi tabhi jyoti ki mosi boli Raju ji Agar aap jyoti say alag say kuch puchna chaho toh puch lo par jyoti Raju ko itna pasand aai Raju nay haa kar di jyoti ki hassi say bhi Pata lag raha tha ki Raju jyoti ko pasand hai Raju kay pitaji nay rishta pakka par diya .ab Raju ki shaadi jyoti say ho gai or Raju bhi aacha Jeevan beeta raha tha ...

Fir ek din Swati aapnay husband kay sath aapni bhabhi say milnay dinner par aai or jab Swati nay or uskay husband nay Swati kay Kath ka banaya khana khaya toh bahaut khush hui or boli bhabhi aap toh bahaut aacha khana banati ho .or jyoti or swati bhi aachay say rahnay lagi or swati ko bhi jyoti ka nature aacha laaga ab jab bhi Swati free hoti toh jyoti say baat karti phone par or kabhi ghar aajati or ganto tak baat karti Raju nay bhi jyoti ko bata rakha tha ki pehlay uski life kaysi thi or ab kaysi hai or bahaut garv mahsoos karti ki usko itna mehanti pati Mila jissnay purray ghar ki zimaydarri utha or aapnay pitaji kay sapno ko or apni behan ki shaadi karai or uskay pass Swati nand aai or boli bhabhi aaj tum mujhe dekhkar badi bahavook ho rahi ho jyoti boli Swati didi may yah souch rahi thi ki Agar aapnay us time rashan kay paysay baachay na hotay toh Raju ji kabhi itnay kamiyaad nhi ho patay didi vo kahtay hai na ki Har zemedaar aadmi kay pichhay ek aurat ka Kath Hota Hai vo didi tum ho tum na hoti toh sab kaysay Hota bus yahi souch rahi thi .Swati nand boli bhabhi Agar Har kisi ki bhabhi tumhaari Tarah aapni nand kay baaray may souchay toh nand bhabhi may kabhi ladai naa ho or vo ghar bhi khus haal ban jaye .jyoti Swati ko gale laaga kar boli bilkul thik kaha didi.swati boli ab bus Karo mujhe rulaoo mat ab batao mujhe bua ka banna rahi ho jyoti Sharma kar rasoi may aapna kaam karnay chali gai .or thoday hi time baad jyoti maa bani or jyoti ko baada hi sunder beta hua ab Raju ka Mata pita dono hi khush thay ki unkay yaha potta aagaya hai .Raju kay pitaji hai pottay ka naam piyush rakha .Piyush bahaut hi sunder tha or Dada or pottay may khub jamati .Raju ka pita aapnay pottay ko roz aachi aachi kahaniya sonata or bagwan kay shalok bhi sunata ab dheeray dheeray Raju ka beta bada honay laaga or school may uska admission ho gaya piyush bhi kafi hoshiyaar or intelligent tha Dada ji piyush ko roj school chodnay jatay or school say laykar aatay or Raju kay pitaji piyush ko Raju kay baaray may baatay ki beta tumhaaray pita ji kitnay mehhnati aadmi hai uhonnay Kitani mehnnat ki or ab tumhay bhi pad likh kar aapnay Mata pita ka sapna Pura karna hai or sath hi sath aapnay sapnay bhi Pura karna piyush bhi bada hogya or vo samjh gaya ki padai bahaut zaroori hai or aapnay maa baap say kuch sikhna .maa baap toh madad kar saktay hai bagwan banata hai sabki takdir.ab piyush bhi bada ho gaya or Dada ji ki baat ussay yahi yaad dilati thi ki usko bhi ek aacha vyapaari banna hai Taki kabhi kisi kay aagay hath na fiylaana paaday .piyush samajhdaar ho gaya Tha or aapnay papa say bolta papa mujhe bhi aapki Tarah business man banna hai or Raju bolta piyush may toh ghar ki zemedaari kay Karan nhi pad paya itna par tum pado or ek aachi sikhsha pratap Karo or fir meray business ko aagay banana pitaji ki yeh baat sun piyush ko laga ki uskay pitaji uskay baaray may kitna souch Rahe Hai ab piyush khub aacha padnay laaga or aachi degree say pass ho kar computer course kiya or computer or internet knowledge say aapnay papa ki choti dukaan ko ek mithai kay mall may privartan kiya .ab Raju ko aapnay beta piyush par bahaut garv hua or yeh sab Dada ji ki sikha ka assar tha Jo piyush ko sab bataya or ussay inspire kiya .

Message. Message.

Ek sahi raha aapko aagay badnay may madad karti hai batakanay toh bahaut log aatay hai par raha dikhanay Vala ek hi kafi Hota Hai esliye mehnnat kijiye aapki mehhnat ek din zarror rang laayegi .plzz support ur family.

Plz like kijiye meri new novel

Thanku for ur support

Editor

SHILPI GUPTA

More Chapters