WebNovels

Badi beti

Najiya_Khatun_7668
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
163
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - "Khamosh ---Guftagu"

Ye kahani hai ik ladke aur ik ladki ki . Ladke ka naam Aadil aur ladki ka naam Jiya tha. Aadil aur Jiya ik dusre ke neighbours the bachpan se hi vo ik saath rahte the vo log ik hi class me padhte the. Unka rista tha best friend ka ladki ladke ko apna best friend manti thi.

Jab vo choti thi Aadil daily Jiya ke ghar aata tha Aadil aur Jiya ik sath khelte the aur apna notebook share karte the. Ik baar daily ki tarah Aadil, Jiya ke ghar khelne aaya tha Jiya apni mummy ke sath khana kha rhi thi tabhi Aadil ne uska khana chin kar kha liya .

Aadil bahut badmash ladka tha uski aadt thi ki vo sabse jhuth bol ke sabko school aur madarsa jane se rokna. Ik bar Jiya aur uski frnd Madrsa ja rhi thi Aadil ne unko bataya ki aaj madrse ki chuti hai aur Jiya aur uski frnd ne uski baat par yakin kar liya .

Agle din bhi Aadil ne Jiya aur uski frnd ko rokne ki koshish ki lekin is baar Jiya ne uski baat par yakin nhi kiya aur vo apni frnd ke sath Madrse gai to vaha uske molvi ne Jiya aur uski frnd ko punishment diya.

Tab madre se aakar Jiya ne Aadil ko bahut mara fir Aadil ne class bung karne ka kaam chod diya. Jiya ik masum aur sundar si ladki thi . Badhti umar ke sath Aadil ko Jiya se mohbat hone lagi Aadil Jiya ko bolta rhta tha ki mai mar jaunga to kya karogi aur Jiya use bahut bolti thi . Ik bar Aadil Jiya ko cycle sikha rha tha Aadil ne jiya ko cycle sikha diya lekin cycle sikhte samay Aadil ke dost ne cycle sikhte dekh liya .

Tab se Aadil ki dost jiska naam Ritik tha usne Aadil ko force karna suru kiya aur Aadil uski baato me Aata gya Aadil , Jiya se daily kahta tha ki mai mar jaunga to kya karogi.

Jiya ko dar tha ki Aadil ko khuch ho na is liye Aadil ki betuki baato par kabhi kabhi Jiya rone lagti thi. Jisse Aadil ko lagne laga ki Jiya bhi usse (Aadil) se mohabbat karti hai .

Aadil aur Jiya ik hi class me aur ik hi coching me padhte the jiske karn.

Vo ik dusre ke karib hote gye lekin Jiya ko abhi bhi lagta tha ki Aadil bas uska best friend hai lekin Jiya in sab baato se anjan thi .

Ik din Aadil , Jiya aur uska frnd Rehan aur Hasan . Har din ki tarah coching me the tab aadil ne jiya ko ik game khelne ko bola jisme sabhi ke naam ke aage ka do letter ko chod kar aur jiya ko pura name bolne ke liye kaha. Jiya in sab baat se anjan thi jiya ne bolna suru kiya. Usne phle Rehan ka naam han bola aur hasan ka naam san bola aur se Aadil ka naam Dil bola aur apna naam vaise hi bola jaisa aadil ne kaha tha Jiya fir Aadil ne Jiya aur apna naam ik sath hora Dil jiya -jiya ko us timw khuch samjh nhi aaya lekin khuch ser sochne ke baad usko Aadil par hone laga . Lekin Jiya Aadil ko bas apna best friend manti thi is liye usne is bare me kabhi usse baat nhi ki kyuki use dar tha ki Aadil naraj ho jaega aur usse baat nhi karega lekin. Aadil jiya ko pasand karta tha is baat ko Jiya ke alva uske sabhi dosto ko pata tha. Jiya ko Army me jana tha vo hardam Aadil se bolti thi ki mai ik din Army officer banugi aur Aadil usse bolta tha ki vo ik DJ wala banega jo jiya ke sadi me charo aur DJ lagva ke uski Sadi manega.

Jiya is bar bhi anjan thi usko lagta tha ki vo bas majk karta hai kyuki dosti me esa majk hota rhta tha. Ik bar Adil ne jiya ko ik shyari sunne ke liye kaha tha lekin Jiya ne in baat se mana kar diya kyuki us time uski class chal rhi thi lekin fir Aadil ne kaha ki mai kisi ke liye yaad kiya hu sun lo ki mujhe yaad hai ki nhi. Jiya soch me pad gai ki kon ha vo. Fir jiya ne aadil se pucha kisse liye yaad kiye ho aadil usse bachpan se hi bahut pareshan karta tha usne kaha hai koi aur jiya ne uski baato par yakin karke bola sunao . Fir aadil ne shayri bola ------------

" Mera janaja uthe to use door hi rakhna,

Machis ki tiliya uske narm hatho me na dena .

Wo masum hai , dosti aur ishq ka farq nhi samjhti.

Aadil ne jiya se bas ye 3 line boli aur jiya khuch der ke liye soch me pad gai .

Fir khuch min baad aadil se kahi kiske liye likhe ho, Aadil ne fir vahi jawab diya hai koi hai.

Jiya ka shak aur badh gya aur vo apne dusre dost se is bare me baat ki lekin Adil ne sbko is baat se bat ne ke liye mana kiya tha tab jiya ke aur dosto ne is bare me nhi bataya.

Fir khuch dino baad jiya ka dost rehan ke sath jada rhne lagi jiske karn uske sath ke aur ladke ne jiya aur rehan ke bich kuch hai is baat ka uske aur dosto ne baat badhaya

Ye baat jab jiya ko pata chali to jiya ne rehna se dur rhne lagi fir vo aadil ke sath rhne lagi aadil ko abhi bhi mohabbat thi jiya se lekin abhi tak use ye baat pata na chali thi.

Tab aadil ne jiya ko dusri ladki se pareshan karne ko kaha.

Rehan aur adil ko dusre ladki ke bare me baat karna suru kar diye.

Aur jiya in sab baat se bahut chidhti thi use pasand nhi tha ki Aadil kisi aur ladki ke bare me baat kare. Rehan bolta tha ki tum kyu itna chidhti ho lekin jiya in sab baat se anjan thi vo bas yahi kahti thi mujhe pasand nhi hai.

Ye sab kai din tak chala ik din rehna khud aakar jiya ko ik baat batana chaha.

Lekin jiya uski baat nhi sunna chahti thi vo bas itna janti thi ki fir vo kisi aur ladki ke bare me baat karega .

Rehan bola jiya se ki tumhari baat hai sun lo jiya ne kaha ok bolo. Rehan bola ki ritik aur aadil tumhare me galat sochte hai aur aadil tumko pasand karta hai.

Jiya in sab baat se anjan thi usne kaha majak mat karo mai aadil ki bas best friend hu aur khuch nhi lekin aadil abhi bhi usse pyar karta tha . Tab jiya ne ik faisla liya ki vo aadil se aab hamesha dur rahegi aur usne esa kiya bhi .

Vo Aadil se baat karna band kar di.

Aadil aan kahi aur coching join kar liya is baat se ajna tha vo ki mujhe in sab baat ka pata hai.

Bas unki dosti bich me hu khatam ho gai sayd ko itne din ke liye hi sath the lekin jiya abhi bhi usse utni hi dosti karti hai jitna ki vo pahle karti thi usne aadil se kabhi nafarat nhi kiya shayd vo bhi usse pyar karti thi lekin usne kabhi bataya nhi lekin abhi bhi jab vo samne aata hai jiya ke to vo vaise hi rahti hai jaise ki vo phle thi. Aadil abhi bhi nhi badla bas usi ik buri sangati ne usko jiya se dur kar diya. Aab aadil ki bhi gf hai aur jiya abhi bhi akeli hai.

Bas unhi bachpan ki yade.

Jo usne aadil aur apne sabhi dosto ke sath bitaya tha.

Aab jiya ke jindagi me uske goal aur uske parivaar ke alava koi nhi hai.

"Dosti me sukun tha par ishq ne , bechain kardiyaa.

Ik pyar se rishte ko kashmakash me bhar diya. "