WebNovels

Chapter 1 - Ek Am se ladka banaa Shaitan

Ek baat Dhyan se Dhyan rakhna Jo dikhta Hai vah hota nahin kyunki har EK Sundar chehre ke piche Shaitan chhupa hota Hai.

Ek chhote se gaon mein ek achcha aur bahut Sundar bacha tha jiska Naam Alpha tha Jo sabki m

adad karta tha.

Jabki use kuchh nahin milta tha logon ki taane bolate the ki yah dikhava hai.

Aisa roj hone Laga dheere dheere gaon walon per Bharosa uth Gaya.

Ab use yah lagne Laga kya Sachmain main galat hun use apne aap per Bharosa uth Gaya vah had Se jyada sochne Laga aur kamjor padhne Laga logon se baat karna band kar diya na koi usse baat Karta tha Na koie pasand Karta tha. bas ek jagah baitha rahata tha Koi harkat nhi. vahi roj subah uthkar chhote se talab ke pass Ja tha ab use Akele rahana pasand aane Laga ab uski soch aisi Ho Gai thi Koi mare ya jiye use farak nahin padta tha dheere dheere ab usmein ghamand aur nafrat failne Lage.

Na jaane ab use Kya Ho Gaya uske Ghar wale soch rahe the mere bacche ko Kya Ho Gaya.

Vah log Kya jaane use per kya beet rahi hai

FIR uske Ghar walon Ne socha kyon Na iske pita ke pass bhej diya jaaye Jo ek bade se Shahar mein rahte the.

Phir Tay hua ki use bhej diya jaaye Vah Khush tha ki mujhe is gaon mein nahin rahana padega ine bakwas logon ke sath.

Jakar Apne pita ke pass pahuncha to uske pita Ne kaha kya tum yahan padhna chahoge use Alpha ne kaha han mujhe padhna hai FIR uske pita ne ek hostel mein Naam likhva Diya use yah laga ki mere pita mujhse chhutkara Pana chahte Hain.

Ab aur Akela pad Gaya hostel mein jaane ke bad use yah lagne Laga Kya Mera Banna galat hai ya FIR main achcha hun ya Bura hun use yah nahin pata.jab ki uski umra thi 17 saal ka tha .

Usne yah socha Mera Mar Jana hi theek hai

Per pata nahin kahan se uske andar ye aane Laga logon Ko maar ke mara Ja .

FIR usne Apne pita ko kaha ki mujhe Kung Fu sikhana hai uska pita Ne kaha theek hai jo tumhen pasand Aaye. lagbhag 5 sal beet jaane ke bad fir bhi uska gussa shant nahin hua uske andar vahi nafrat aur badhati Chali gai. use Jo gussa dilata use maar dalta Na jaane kitni hatyaen aur rkiye Apne takat ke ghamand ke vajah se police bhi nahin pata Laga Pai Pai ki Kaun kar raha hai yah dheere dheere AlPha ne soch .

Kyon Na ek gang banaa lo use Apne Jaise logon Ko talash thi kuch sal bite aur uski gussa aur nafrat badhati Chali gai jab vah apni hostel se Ghar aaya to Apne pita Ko dekha Jo Kisi aur ladki ke sath samay bita rahe the usse yah dekha nahin Gaya aur pass pade Chaku Ko uthakar Apne pita per hamla Kar Diya aur apne pita ko maar Dala use ladki ko bhi maar Dala use yah dar tha kahin Koi dekh Na Le aur is Lash ko kahin chhupana hai

To usne ek Police wale Ko Bulaya aur kuchh use paise diye aur bola yah lash ko chhupa De

Police wale Ne kaha tujhe kyon lagta hai ki main yah kam karunga usne bola FIR agar tune yah Kam nahin Kiya Jo niche bacche hi use main maar dalunga aur Main tujhe free mein nahin karne ke liye bol raha hun tujhe Paisa de raha hun jo Teri kamai Se jyada Hai Police wale ne kha theek hai.

Police Ne kaha Tum kahin dur chale jao Ki Kisi Ko pata Na chale ki tumne Kiya Hai . Aur mujhe apna Kam karna hai usne CCTV camera ko video aur photo ko delete kar diya Kisi Ko yah Na pata chale ki maine yah murder Kiya Hai.

Vah ek samundar ke pass pahuncha use ek ladka Jo suicide karne wala tha use roka aur bola ki tum kya kar rahe ho use ladke ne bola tumhen dekh nahin raha hai main suicide kar raha hun jo suicide kar raha tha use ladke ka naam tausif tha Alpha Ne jawab Diya tumhare pass koi aur rasta nahin Hai Jo Tum suicide kar rahe ho tausif Ne jawab Diya nahin Ghar wale taane per taane de rahe hain Main Kya karunga Alpha ne jawab Diya Tum mere Sath a jao tumhen Jo chahie main vah dunga tumhen Kisi chij Ki Kami nahin hone dunga tausif kaha tum kya de sakte ho usne yah kaha Jo Tum mangoge bus Tum Mera Chhota Mota kam karna hoga tabhi to main kuchh milega tausif vah kya Kam kya hoga Alpha ne jawab diya main jo kuchh kahunga vah karna padega usne han Kar Diya.

Dheere dheere unki gang badhati Chali gai Na jaane kitne murder Na jaane kitni supplier unke pass kam karne lage.

Isiliye Ghar wale kahate Hain Kisi per Bharosa mat karo koi tumhara saga nahin Hai yah thi ek aam se ladka ki jindagi aur uske Safar.

Nafrat mein itna mat doob jao tumhen yah Na dikhe Sahi Sahi aur galat pahchan Na Sako

More Chapters