WebNovels

Chapter 1 - Pehla ehsaas

Us raat maa ne pehli baar bete ke sir par haath rakh kar kaha,

"Beta, agar kal maa tumhare saath na ho… to yaad rakhna, maa ki dua hamesha tumhare saath rahegi."

Beta muskuraya, baat ko mazak samjha…

magar subah jab uski aankh khuli,

ghar mein ajeeb si khamoshi thi

aur maa ka kamra band tha…

Darwaza dheere se khula…

aur beta wahi jam kar reh gaya…

Maa bete ki zindagi ka sahara thi.

Jab beta chalna seekh raha tha, maa ne uski ungli thaami.

Jab woh girta, maa ne use seene se laga kar kaha,

"Beta, ghabrana nahi… maa hoon na."

Ghar ki halat achi nahi thi, lekin maa ke chehre par kabhi shikwa nahi hota.

Woh khud kam khaati, magar bete ki plate hamesha bhari rehti.

Raat ko jab beta so jaata, maa uske sirhane baith kar uski zindagi ke liye dua karti.

Beta maa ki aankhon mein apni poori duniya dekhta tha.

Uske liye maa sirf maa nahi,

balkay himmat, umeed aur mohabbat ka naam thi…

More Chapters