WebNovels

Chapter 2 - Sirr e Hidaya Chapter 2

Raat ki makhmali Chadar aasman per aastha ahista bech rahi thi khanzada haveli ki rah dariyon mein aaj khas chahal pahal Thi diwaron per aveza fanucon ki roshani mehmanon ka istikbal kar rahi thi aur halki mausiki ki sargoshiyan thi magar sabki nigahen Agar Kisi Ka Taaqub kar rahi thi to vah hale Noor thi Siyah mashriki libaas main mlboos halka lamba kurta Jis per chandi ki jhalak Thi vah Goya chalti Hui sham ki tarif lag rahi thi uske baal nefaset se rolls main bandhe the Jo ek taraf se kandhe per gir rahe the vah har mehman ko muskurate hue Bawaqar andaaz mein khushamdeed kah rahi thi uske lahje mein shrini thi aur fahem ki jhalak itne mein Jalal Durani Sahab andar dakhil hue wo Usman Khanzada ke dost the ek safed resh jahan deed shakhs 

" Aaye Durani Sahn khushamdeed! Baba aapka bahut zikr karte hain " 

Hale ne garam Joshi se apne Walid ke Derina dost ka istikbal Kiya.

" Tum to bilkul apni man per Gai ho lekin andaaz Khalis Usman wala" 

 unhone Hale Ko dekhkar muskurate hue kaha unke Sath kuchh ahm shakhsiyaat bhi thi yah sab Usman sahab ke Halka abhab mein shamil the 

Hale ne un sab Ka istikbal Kiya 

" chaliye main aapko Baba se milwati hun "

Hale ne ek jaanib ıshara karte hue kaha 'Khanzada Sahab khushnasib hai jo aisi beti Pai hai" 

 unmen se ek khatoon ne muskurakar kaha .Hale hlke s muskrae .

Dusri taraf somro qasre hidaya ki surangon se guzar kar Apne makhsus kamre mein maujud tha vah taiyar ho raha tha Siyah libaas aur hath mein chamakta hua berik nishan wala hathiyar uske chehre per nikaab tha aur aankhen chamak rahi thi jaise tufan se pahle ki khamoshi 

ıtni mein batish andar dakhil hua hath mein ek naksha aur file Thi usne file umar ki taraf badhai 

"Bacchon ke Walid ko abhi tak Shomali ilake mein ek purane karkhane mein rakha gaya hai yahi Unka Adda hai dushmanon ne jagah badalne ka mansuba banaya hai magar hamare aadami andar maujud hai" 

Batish ne maloomat de Umer ne file band ki aur nazre uthakar kaha

" Aaj Raat vah baap Apne bacchon ke pass Hoga aur vah adda zami boss"

kasar ki ek goshe mein vakya kadim magar behad nafis kamre mein aayesha khatoon apni makhsoos aaram de nashist per baithi Thi gulabi rang ka rvaiti dupatta sar per ,hath mein tasbih aur aankhon mein wo sukun Jo barson ki aajmaesh ke bad aata hai

 Ayesha khanum vah aurat jisne javani mein Apne shohar Ka Sath khoya mgr bete ko kamzoor na hone dya

taleem Waqar husn aur ruhani tarbiyat Ka sangam unki shakhsiyat Kisi khamosh Dua ki Tarah Dil mein utarti thi darvaze per aahat Hui to unhone nigah uthai 

"Umer andar a jao" 

unki awaaz mein hamesha Ki trh narmi Thi .Umer aahistagi se andar aaya do kadam fasle per ruka aur jhukkar Unka hath chuma 

"Dua chahie walda aaj Raat phir andheron se samna hai" Umer n kaha

" andhere tumhen pahchante Hain Umer tum un Ka hissa ho mujhe yakin hai kamyab lautoge" Aysha khanm ne jwab dya 

"main nikalta Hun waqt kam hai "

Umer ne kaha 

" kamyabi tumhara mukaddar ho mere bete" Aysha n dua de 

darvaze ki dahleej per rukte hue Umer ne ek bar aur palat kar Man Ko dekha unki aankhon mein Vahi Dua Thi Jo bachpan se uska saya Rahi Thi aur phir qasre hidaya ka waris Man ki Dua ka pehra liye Andheri Raat mein utar Gaya Raat ki ghata top tareeki mein hidaya ke Shomali kinare per ek sunsan aur ujad ilaka Waka tha jahan salon se band padi ek purani factory shahar ke Baki shor se Kati Hui khamosh khadi Thi magar aaj uske samne sırf do musallah Guard pehra de rahe the jinki aankhon mein bedari kam beniyazi zyada thi 

Rat ke sannate mein do saye namudar hue ek Umer Somro aur dusra Batish Jo Apne aagah ke baen jaanib khada tha Batish ne dhire se Umer ki jaanib jhuk kar sargoshi ki 

"Agha wo donon susti mein hai magar jaldi karna hoga sab"

Umer ne asbaat mein sar hilaya aur jaise Hawa ko chirta hua ek lamha guzra vah donon guard ke bilkul qareeb pauhanche 

batish ne baen Janib wale guard ki gardan per tej Dhar khanjar pher dya is se phle k doosra guard harkat krta Umer n silencer wali gun se goli us k seene mein utar de Awaaz sirf feza mein saans ki si halchal thi.

Dawat apne arooj pr thi Khushboo Roshnio r guftagu ka haseen imtizaj tha Hale her goshe mein mojood thi her kisi ke bat sun rhi thi her chehre ko janch rhi rhi wo beti thi magar Jase ghar ke malik ho .Us ke dost Mehroo us k sath thi wo hale k lye bhno jasi thi aur us ke sab se bari madad gar thi.

Dawat mein ab bethe howe Durani sahab doosre mehmano se Hale ke zahant rakh rakhao aur guftgu ka saleeka bayan kar rhe thee Osman sahab or fehmida Khanm un k darmayan bethe ye sun kr khud ko khushnaseeb tassawer 

kr rhe thee magar kisi ko khaber na thi k ek Jang andhere mein lari ja rhi thi.

Drwaza abhi bhi band tha Batish n ek zordar zarb lgae r drwaza khulta chla gaya wo dono ihtiyat se andar dakhil howe jase he wo andar dakhil howe factory ka manzar kisi khofnak khab ke jesa tha pheeki roshnio mein nahai lambi tang rahdariyan zang alood pipe aur phate howe qaleen deewaro per maazi k naare jase kisi inqilab ke akhri cheekh ho 

Umer ne hath k ishare se Batish ko do tarfa gherao ke hidayat de .Achanak ek goli umer ke aasteen cheerti howe nikal gae goli ek guard n chlae thi is s Phle k umer jwabi hamla krta firing ke awaz goonji aur guard neeche gir para goli andar se chlae gae thi Umer ke nazre tez ho gae ye berik k khufya jasoos thee jo dushman k jism k andar chupe howe zehrile kante thee .

Factory mein mojood tamam guard un k gird ghera bna chuke thee Somro apne chand logo k sath ghir chuka tha magar us ka itminan deedni tha achank firing ke awaz k sath guard ek ek kr k girne lage ghera toot gaya tha 

Berik k jasooso ne apne agha ke hifazat ke thi.

Dushman androoni hmle ke wja s kamzoor ho chuka tha Umer k khne pr Batish Bachon k baap ko ek kmre se nikal laya tha jis ko zanjeero mein jakar kar rkha gaya tha.

"Do mint.. aur yhan sab kuch khatam ho jana chahiye " 

Somro n bomb nasab Krne wale ko ishara kya .Qedi ko Sahara de kar wo bahr niklne lge peeche s dushman golia chala rahe thee mager jasoos cover de rahe thee .Yhi androoni sazish Umer ke hikmate amli ka jadoo thi dushman ke safon mein khof aur intishar peda karna 

Somro aur us k agent factory se door aa chuke thee dushman is ko farar samajh raha tha magar apni mot se bekhabar tha .Akhri lamhe mein factory k andar ek zor dar dhamake ke awaz goonji asman per aag ka shola buland howa Somro ek bar phir fatih tha adal aur insaf ke khufya jang ka....

Dawat ikhtitam pazeer ho chuki thi sab log achi yadon k sath rawana howe thee 

Mehroo abhi tak yahi thi ku k us ke gari khrab ho gae thi aur Hale n usse ghar chorne ke peshkash ke thi jise us n qabool kr lya .Hale n fehmida Khanm ko khbr ke aur mehroo k sath gari mein beth gae us k peeche guards s bhri ek gari bhi tyar khri thi Hale n hath k ishare se unh ane s rok dya wo apni dost k sath akele bahr nikalna chahti thi .Siyah Mercedes gate s baher nikal gae .

Wapsi per tez barish shroo ho gae Ye ek sunsan sarak thi jahan Hale gari chala rahi thi Barish ke waja se sarak mazeed sunsan lag rhi thi Achank chand motorcycle sawaro ne us Ka rasta roka usse gari rokna pari Usman khanzada ne usse muqabla krna sikhaya tha Hale ne gari mein mojood pistol nikal lya lrko n usse bahr ane ka ishara kya wo bahr to aa gae magar goli chala de jo ek ke tang mein ja lagi wo teen log thee r Hale akeli is harkat ne unhe gussa dilaya aur zordar zarb k nateeje mein pistol us k hath s dur ja giri is soorate haal mein usse samaj na aya k kya kare Us n mukhalif simat mein bhagna shroo ker dya barish mein bheegti rhi magar har na mani us ke sanse betartib thi siyah reshmi libas barish mein bheeg chuka tha r wo log abhi bhi us ka peecha kr rhe thee

Achanak ek mor per baarish k shor mein us ka wajood kisi sakht aur mzboot jism se takraya wo peeche larkharai magar ek hath ne use tham lya 

Chand ke madham roshni mein naqab mein chupe chehre ke ankhain us per jami thi .

Ankhain jin s wo khab mein mili Thi khab haqiqt hota maloom ho rha tha Hale ka dil jase chand lamho k lye ruk gaya .Wo hanooz use dekh raha tha ...( to be continued)

More Chapters